miT gaya dil hum tamasha-e-fana dekha kiye
miT gayā dil ham tamāshā-e-fanā dekhā kiye
kar hī kyā sakte the jo kuchh bhī huā dekhā kiye
tum na aa.e aur tadbīr-e-junūñ zaa.e’ huī
ham tasavvur meñ tumheñ aatā huā dekhā kiye
jazba-e-dil kī magar tāsīr ulTī ho ga.ī
ham tumhārā aur tum muñh ġhair kā dekhā kiye
baa.az din aisā hī ho jaatā hai merā haal kuchh
jaane kyā kartā rahā maiñ aap kyā dekhā kiye
aisī kyā merī tamannā.eñ ta.ajjub-ḳhez thiiñ
maiñ bayāñ kartā rahā tum muñh mirā dekhā kiye
maiñ ne pūchhā ġhair ke ghar aap kyā karte rahe
hañs ke farmāyā tumhārā rāstā dekhā kiye
terī is vahshat kī ai 'maikash' davā bhī hai kahīñ
ik na ik pur-ġhash tujhe mard-e-ḳhudā dekhā kiye
miT gaya dil hum tamasha-e-fana dekha kiye
kar hi kya sakte the jo kuchh bhi hua dekha kiye
tum na aae aur tadbir-e-junun zae’ hui
hum tasawwur mein tumhein aata hua dekha kiye
jazba-e-dil ki magar tasir ulTi ho gai
hum tumhaara aur tum munh ghair ka dekha kiye
baaz din aisa hi ho jata hai mera haal kuchh
jaane kya karta raha main aap kya dekha kiye
aisi kya meri tamannaen tajjub-KHez thin
main bayan karta raha tum munh mera dekha kiye
main ne puchha ghair ke ghar aap kya karte rahe
hans ke farmaya tumhaara rasta dekha kiye
teri is wahshat ki ai 'maikash' dawa bhi hai kahin
ek na ek pur-ghash tujhe mard-e-KHuda dekha kiye
- Book : Maikada (Pg. 55)
- Author : Maikash Akbarabadi
- Publication : Agra Akhbar, Agra (1931)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.