atraf-e-chashm-e-yar mein aasar-e-girya hain
atrāf-e-chashm-e-yār meñ āsār-e-girya haiñ
ruḳhsār-o-lab tamām azā-dār girya haiñ
lab ḳhand se hamārā ilāqa nahīñ koī
ham-sar kHush-malāl haiñ sarshār girya haiñ
sahrā-e-qahqaha meñ ġhanīmat samajh hameñ
ham shāḳh-sār-e-huzn haiñ gulzār girya haiñ
ham shahar meñ na hoñ to yahāñ qaht-e-ashk ho
sar-gashtagāñ hī garmī-e-bāzār girya haiñ
aisā nahīñ ki maañg hī us jins kī nahīñ
kuchh log āj-kal bhī kHarīdār-e-girya haiñ
ham tak pahuñch ga.e ho to ronā hai nā-guzīr
ham ḳhānqāh-e-ishq meñ dīvār-e-girya haiñ
mizgān-o-chashm-o-ashk se haT kar bhī girya hai
tashrīh kyā kareñ ki ye isrār-e-girya haiñ
atraf-e-chashm-e-yar mein aasar-e-girya hain
ruKHsar-o-lab tamam aza-dar girya hain
lab KHand se hamara ilaqa nahin koi
ham-sar kHush-malal hain sarshaar girya hain
sahra-e-qahqaha mein ghanimat samajh hamein
hum shaKH-sar-e-huzn hain gulzar girya hain
hum shahar mein na hon to yahan qaht-e-ashk ho
sar-gashtagan hi garmi-e-bazar girya hain
aisa nahin ki mang hi us jins ki nahin
kuchh log aaj-kal bhi kHaridar-e-girya hain
hum tak pahunch gae ho to rona hai na-guzir
hum KHanqah-e-ishq mein diwar-e-girya hain
mizgan-o-chashm-o-ashk se haT kar bhi girya hai
tashrih kya karen ki ye israr-e-girya hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.