mohabbat jaan-bazi hai laga le jis ka ji chahe
mohabbat jān-bāzī hai lagā le jis kā jī chāhe
ye beḌā hai tabāhī kā uThā le jis kā jī chāhe
ye sher-e-ishq sotā hai jagā le jis kā chāhe
pakaḌ shamshīr zillat kī chalā le jis kā jī chāhe
mohabbat ham kareñ us se vo kartā hai sitam ham par
sitamgar se ye dil apnā milā le jis kā jī chāhe
na chhūTegā kabhī hargiz phañsā jo dām-e-ulfat meñ
dil apnā zulf-e-dilbar se phañsā le jis kā jī chāhe
sivā qismat ke duniyā meñ nahīñ kuchh mutlaqan miltā
vagarna zor kar ke aazmā le jis kā jī chāhe
makāñ haiñ ḳhūb-tar saare jo vasl-e-ḳhūb-rū hove
mile mahbūb jis jā gā biThā le jis kā jī chāhe
koī masjid banātā hai koī but-ḳhāna duniyā meñ
makāñ bante haiñ daulat se banā le jis kā jī chāhe
mohabbat aur mehnat kī hai sūrat ek sī pyāre
balā-e-āsmānī hai lagā le jis kā jī chāhe
nigāh-e-yār hai tirchhī liye shamshīr aatā hai
ye sar apnā ḳhushāmad se kaTā le jis kā jī chāhe
jo marne se muue pahle unheñ kyā ḳhauf dozaḳh kā
dil apnā nār-e-hijrat se jalā le jis kā jī chāhe
sharāb-e-ma.arifat 'ārif' ba-jām-e-sidq piitā hai
nahīñ haTtā haTāne se haTā le jis kā jī chāhe
mohabbat jaan-bazi hai laga le jis ka ji chahe
ye beDa hai tabahi ka uTha le jis ka ji chahe
ye sher-e-ishq sota hai jaga le jis ka chahe
pakaD shamshir zillat ki chala le jis ka ji chahe
mohabbat hum karen us se wo karta hai sitam hum par
sitamgar se ye dil apna mila le jis ka ji chahe
na chhuTega kabhi hargiz phansa jo dam-e-ulfat mein
dil apna zulf-e-dilbar se phansa le jis ka ji chahe
siwa qismat ke duniya mein nahin kuchh mutlaqan milta
wagarna zor kar ke aazma le jis ka ji chahe
makan hain KHub-tar sare jo wasl-e-KHub-ru howe
mile mahbub jis ja ga biTha le jis ka ji chahe
koi masjid banata hai koi but-KHana duniya mein
makan bante hain daulat se bana le jis ka ji chahe
mohabbat aur mehnat ki hai surat ek si pyare
bala-e-asmani hai laga le jis ka ji chahe
nigah-e-yar hai tirchhi liye shamshir aata hai
ye sar apna KHushamad se kaTa le jis ka ji chahe
jo marne se mue pahle unhen kya KHauf dozaKH ka
dil apna nar-e-hijrat se jala le jis ka ji chahe
sharab-e-marifat 'arif' ba-jam-e-sidq pita hai
nahin haTta haTane se haTa le jis ka ji chahe
- Book : Diwan-e-Arif (Pg. 93)
- Author : Kishan Singh Arif
- Publication : Chashma-e-Noor Press, Amritsar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.