mohabbat ko meri gharaz tum se kya hai
mohabbat ko merī ġharaz tum se kyā hai
tabī'at kā dil kī yahī muqtazā hai
ḳhudā jaane dil ko mire kyā huā hai
tumhīñ se ḳhafā hai tumhīñ par fidā hai
maiñ ḳhud mā’nī-e-husn huuñ ai sitam-gar
magar kuchh judā.ī meñ terī mazā hai
tumhārā sitam 'ain merī mohabbat
kisī par kiyā tum ne mujh par huā hai
junūñ merā donoñ jahāñ meñ musallam
tumheñ bhī magar chheḌne kā mazā hai
maiñ is daur-e-hastī meñ vo dā.ira huuñ
ki har intihā par mirī ibtidā hai
na kuchh kah sakā maiñ na kuchh vo hī samjhe
bahut der sochā ki kyā mudda'ā hai
mujhe hone ke haiñ to laakh shikve
kyā tum se shikvā ye apnā gilā hai
zarā maiñ ne dekhā ki vo chauñk uTThe
tuf ai jazb-e-dil ye bhī kyā mashġhalā hai
hai mardūd dair aur kā'be se fāriġh
na momin na kāfir ye dil kyā balā hai
maiñ har falsafe kī haqīqat huuñ 'maikash'
mire sāmne hech har falsafa hai
mohabbat ko meri gharaz tum se kya hai
tabi'at ka dil ki yahi muqtaza hai
KHuda jaane dil ko mere kya hua hai
tumhin se KHafa hai tumhin par fida hai
main KHud ma’ni-e-husn hun ai sitam-gar
magar kuchh judai mein teri maza hai
tumhaara sitam 'ain meri mohabbat
kisi par kiya tum ne mujh par hua hai
junun mera donon jahan mein musallam
tumhein bhi magar chheDne ka maza hai
main is daur-e-hasti mein wo daira hun
ki har intiha par meri ibtida hai
na kuchh kah saka main na kuchh wo hi samjhe
bahut der socha ki kya mudda'a hai
mujhe hone ke hain to lakh shikwe
kya tum se shikwa ye apna gila hai
zara main ne dekha ki wo chaunk uTThe
tuf ai jazb-e-dil ye bhi kya mashghala hai
hai mardud dair aur ka'be se farigh
na momin na kafir ye dil kya bala hai
main har falsafe ki haqiqat hun 'maikash'
mere samne hech har falsafa hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.