mohabbat mein jo koi hote hain sadiq
mohabbat meñ jo koī hote haiñ sādiq
unhīñ par hote haiñ ma.ashūq āshiq
muḳhālif phir hamārā kyā karegā
huā jab yaar hī ham se muāfiq
nahīñ karne kā ab va.ada-ḳhilāfī
kiyā hai us ne ham se ahd-e-vāsiq
dikhāo yaaro mire dil ko le jaake
tabīboñ meñ agar ho koī hāziq
visāl us kā kisī din hogā suniyo
judā.ī kā maraz hai jis ko lāhiq
galī se yaar kī bāhar kahāñ jaa.e
ki hai vo jannat-ul-māvā-e-āshiq
'turāb' us kī tavajjoh kab idhar ho
kahāñ ma.ashūq ko parvā-e-āshiq
mohabbat mein jo koi hote hain sadiq
unhin par hote hain mashuq aashiq
muKHalif phir hamara kya karega
hua jab yar hi hum se muafiq
nahin karne ka ab wada-KHilafi
kiya hai us ne hum se ahd-e-wasiq
dikhao yaro mere dil ko le jake
tabibon mein agar ho koi haziq
visal us ka kisi din hoga suniyo
judai ka maraz hai jis ko lahiq
gali se yar ki bahar kahan jae
ki hai wo jannat-ul-mawa-e-ashiq
'turab' us ki tawajjoh kab idhar ho
kahan mashuq ko parwa-e-ashiq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.