mohabbat rahnuma apni mohabbat rahbar apni
mohabbat rahnumā apnī mohabbat rāhbar apnī
udhar niklī tirī manzil jidhar uTThī nazar apnī
dil-e-be-jazb apnā hai na āh-e-be-asar apnī
in ā.īnoñ meñ dekheñ vo adā.eñ jalva-gar apnī
kahāñ se lā.egī umr-e-do-roza ahd-e-rafta ko
kahāñ yādash-ba-ḳhair ab shaam apnī
vo sehr apnīmizaj-e-husn-e-ḳhud-bīñ ko mohabbat kī nazar samjhī
samajhte haiñ mohabbat kī nazar ko vo nazar apnī
kahāñ hai husn ko mastī meñ hosh-e-iltefā ai dil
vo kyā apnī ḳhabar leñge nahīñ jin ko ḳhabar apnī
'zahīn' apne liye dair-o-haram donoñ barābar haiñ
jidhar se vo guzarte haiñ vahī hai rahguzar apni
mohabbat rahnuma apni mohabbat rahbar apni
udhar nikli teri manzil jidhar uTThi nazar apni
dil-e-be-jazb apna hai na aah-e-be-asar apni
in aainon mein dekhen wo adaen jalwa-gar apni
kahan se laegi umr-e-do-roza ahd-e-rafta ko
kahan yaadash-ba-KHair ab sham apni
wo sehr apnimizaj-e-husn-e-KHud-bin ko mohabbat ki nazar samjhi
samajhte hain mohabbat ki nazar ko wo nazar apni
kahan hai husn ko masti mein hosh-e-iltefa ai dil
wo kya apni KHabar lenge nahin jin ko KHabar apni
'zahin' apne liye dair-o-haram donon barabar hain
jidhar se wo guzarte hain wahi hai rahguzar apni
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 169)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.