mohabbat yun to kahne ko bala-e-na-gahani hai
mohabbat yuuñ to kahne ko balā-e-nā-gahānī hai
mohabbat hī se lekin aadmī kī zindagānī hai
tumhāre dil meñ gunjā.ish agar ho to jagah de do
mujhe apne dil-e-marhūm kī turbat banānī hai
jafā-o-jaur kyuuñ mujh ko na raas aa.eñ mohabbat meñ
jafā-o-jaur ke parde meñ pinhāñ mehrbānī hai
udhar kahtā hai tark-e-bāda-noshī ke liye zāhid
idhar saaqī hai sāġhar hai sharāb-e-arġhavānī hai
'azīz'-e-vārsī har sher ik tūfān hai us kā
janāb-e-'nūh' kī din-rāt jis par mehrbānī hai
mohabbat yun to kahne ko bala-e-na-gahani hai
mohabbat hi se lekin aadmi ki zindagani hai
tumhaare dil mein gunjaish agar ho to jagah de do
mujhe apne dil-e-marhum ki turbat banani hai
jafa-o-jaur kyun mujh ko na ras aaen mohabbat mein
jafa-o-jaur ke parde mein pinhan mehrbani hai
udhar kahta hai tark-e-baada-noshi ke liye zahid
idhar saqi hai saghar hai sharab-e-arghawani hai
'aziz'-e-warsi har sher ek tufan hai us ka
janab-e-'nuh' ki din-raat jis par mehrbani hai
- Book : Kulliyat-e-Azeez (Pg. 96)
- Author : Azeez Warsi
- Publication : Markazi Printers,Chudiwalan,Delhi (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.