tujhko josh-e-junun hua kya hai
tujh ko josh-e-junūñ huā kyā hai
uljhanoñ kī mare davā kyā hai
kurb kyā chiiz hai balā kyā hai
ham se pūchho rah-e-vafā kyā hai
gard-ālūd apnā chehra dekh
ā.īna ko tu dekhtā kyā hai
saañs aa.e na lauT kar aa.e
zindagī terā aasrā kyā hai
sham.a-e-turbat se to koī pūchhe
tez-rau tund-rau havā kyā hai
apne afsar se bad-zanī kaisī
mohtaram dost ye adā kyā hai
tujh ko josh-e-junun hua kya hai
uljhanon ki mare dawa kya hai
kurb kya chiz hai bala kya hai
hum se puchho rah-e-wafa kya hai
gard-alud apna chehra dekh
aaina ko tu dekhta kya hai
sans aae na lauT kar aae
zindagi tera aasra kya hai
shama-e-turbat se to koi puchhe
tez-rau tund-rau hawa kya hai
apne afsar se bad-zani kaisi
mohtaram dost ye ada kya hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 67)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.