shab-e-furqat kahen hum dastan-e-dard-o-gham kis se
shab-e-furqat kaheñ ham dāstān-e-dard-o-ġham kis se
na koī ham-navā apnā na koī rāz-dāñ apnā
kisī kī sar-bulandī ḳhāksāroñ se nahīñ chaltī
jhukā.e hai zamīñ par rāt-o-din sar āsmāñ apnā
qadam ham ne uThā.e haiñ abhī rāh-e-mohabbat meñ
ḳhudā ma.alūm kis manzil pe pahuñche kārvāñ apnā
hamāre dil meñ vo mashq-e-ḳhirām-e-nāz farmā.eñ
kabhī ābād jalvoñ se ho ye ḳhālī makāñ apnā
shab-e-furqat kahen hum dastan-e-dard-o-gham kis se
na koi ham-nawa apna na koi raaz-dan apna
kisi ki sar-bulandi KHaksaron se nahin chalti
jhukae hai zamin par raat-o-din sar aasman apna
qadam hum ne uThae hain abhi rah-e-mohabbat mein
KHuda malum kis manzil pe pahunche karwan apna
hamare dil mein wo mashq-e-KHiram-e-naz farmaen
kabhi aabaad jalwon se ho ye KHali makan apna
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 69)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.