hujum-e-be-kHudi-e-ishq ko KHuda samjhe
hujūm-e-be-kHudī-e-ishq ko ḳhudā samjhe
vo aur mujh se kaheñ mujh ko pyaar karatā jā
bagūle marqad-e-āshiq ke sab se kahte haiñ
jo aa gayā hai tavāf-e-mazār karatā jā
ye dil ke daaġh haiñ milte haiñ jis ko milte haiñ
sipās-e-ne.amat-e-parvardigār karatā jā
ishāra phirtī huī putliyāñ ye kartī haiñ
ki mahv-e-dahr ke naqsh-o-nigār karatā jā
kahūñgā bā'd-e-qiyāmat bhī nāz-e-jānāñ se
kuchh aur dil ko mire be-qarār karatā jā
abhī chaman hai qafas to abhī qafas hai chaman
nazzāra-e-chaman rozgār karatā jā
naqāb āriz-e-rañgīñ haTā ke ai dilbar
jahāñ ke ban ko hamesha bahār karatā jā
samajhne paa.e kabhī āsmāñ na ai 'beḳhud'
ye jitnā jabr kare inkisār karatā jā
hujum-e-be-kHudi-e-ishq ko KHuda samjhe
wo aur mujh se kahen mujh ko pyar karata ja
bagule marqad-e-ashiq ke sab se kahte hain
jo aa gaya hai tawaf-e-mazar karata ja
ye dil ke dagh hain milte hain jis ko milte hain
sipas-e-neamat-e-parwardigar karata ja
ishaara phirti hui putliyan ye karti hain
ki mahw-e-dahr ke naqsh-o-nigar karata ja
kahunga ba'd-e-qiyamat bhi naz-e-jaanan se
kuchh aur dil ko mere be-qarar karata ja
abhi chaman hai qafas to abhi qafas hai chaman
nazzara-e-chaman rozgar karata ja
naqab aariz-e-rangin haTa ke ai dilbar
jahan ke ban ko hamesha bahaar karata ja
samajhne pae kabhi aasman na ai 'beKHud'
ye jitna jabr kare inkisar karata ja
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 84)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.