hasinon mein wo gul sab se juda hai apni rangat ka
hasinon mein wo gul sab se juda hai apni rangat ka
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
hasīnoñ meñ vo gul sab se judā hai apnī rañgat kā
adā kā naaz kā ishva kā shoḳhī kā sharārat kā
qayāmat tak namūna hai tire andāz-e-qāmat kā
qadam ko chūmtā phirtā hai har fitna qayāmat kā
nigāheñ garm haiñ ḳhanjar-ba-kaf haiñ aur ye kahte haiñ
vo aa.e sāmne armān ho jis ko shahādat kā
unhoñ ne jaan dī aur tū ne miTTī bhī na dī un ko
diyā kyā ḳhūñ-bahā zālim shahīdān-e-mohabbat kā
pas-e-murdan to mujh ko qabr meñ rāhat se rahne do
tumhārī Thokaroñ se uḌtā hai ḳhāka qayāmat kā
kahīñ kā bhī na rakhā yaar kab kab le liye badle
milā kar ḳhaak meñ baaqī nishāñ chhoḌā na turbat kā
milā ab ke to pūchhūñgā ki ai ā.īna-rū ham se
ye be-parvā.iyāñ kyuuñ haiñ sabab kyā hai kudūrat kā
vafā.eñ yaad karke vo bahā jaate haiñ rose aañsū
rahegā hashr tak sarsabz sabza merī turbat kā
hare kapḌe pahan kar phir na jaanā yaar gulshan meñ
gulū-e-shāḳh-e-gul se ḳhuun Tapkegā shahādat kā
Dubo kar chāh-e-ġham meñ kah gayā vo yūsuf-e-sānī
burī hotī hai chāhat phir na lenā naam chāhat kā
kahā us ne ki 'akbar' kis ke āshiq ho kahā maiñ ne
tumhārī pyārī aadat kā tumhārī bholī sūrat kā
hasinon mein wo gul sab se juda hai apni rangat ka
ada ka naz ka ishwa ka shoKHi ka shararat ka
qayamat tak namuna hai tere andaz-e-qamat ka
qadam ko chumta phirta hai har fitna qayamat ka
nigahen garm hain KHanjar-ba-kaf hain aur ye kahte hain
wo aae samne arman ho jis ko shahadat ka
unhon ne jaan di aur tu ne miTTi bhi na di un ko
diya kya KHun-baha zalim shahidan-e-mohabbat ka
pas-e-murdan to mujh ko qabr mein rahat se rahne do
tumhaari Thokaron se uDta hai KHaka qayamat ka
kahin ka bhi na rakha yar kab kab le liye badle
mila kar KHak mein baqi nishan chhoDa na turbat ka
mila ab ke to puchhunga ki ai aaina-ru hum se
ye be-parwaiyan kyun hain sabab kya hai kudurat ka
wafaen yaad karke wo baha jate hain rose aansu
rahega hashr tak sarsabz sabza meri turbat ka
hare kapDe pahan kar phir na jaana yar gulshan mein
gulu-e-shaKH-e-gul se KHun Tapkega shahadat ka
Dubo kar chah-e-gham mein kah gaya wo yusuf-e-sani
buri hoti hai chahat phir na lena nam chahat ka
kaha us ne ki 'akbar' kis ke aashiq ho kaha main ne
tumhaari pyari aadat ka tumhaari bholi surat ka
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 4)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.