ghazab hai tera ek nazar dekh lena
ġhazab hai tirā ik nazar dekh lenā
qayāmat na ho fitna-gar dekh lenā
sambhālo to tum apnī teġh-e-adā ko
mirī jāñ-dehī ke hunar dekh lenā
mirā kushta honā tirī chashm-poshī
jalānā mirā ik nazar dekh lenā
yahī sar-kashī hai agar terī zālim
kaTā deñge ham apnā sar dekh lenā
hai bārīk tār-e-nazar se ziyāda
dikhā.ī na degī kamar dekh lenā
judā.ī meñ lab ḳhushk haiñ chashm tar haiñ
idhar bhī shah-e-bahr-o-bar dekh lenā
hai ye taur āñkhoñ kā furqat meñ terī
idhar dekh lenā udhar dekh lenā
maiñ chhuT jā.uñgā bāz-purs-e-amal se
ināyat se tum ik nazar dekh lenā
biThā.eñge āñkhoñ meñ dil meñ tujhe ham
pasand aa.e jo tujh ko ghar dekh lenā
jalā kar tū ai sham.a ik dil-jale ko
jalegī sadā tā-sahar dekh lenā
zamīñ par paTak degī ai charḳh tujh ko
ye āh-e-sarī.a-ul-asar dekh lenā
na pūchho pata 'akbar'-e-ġham-zada kā
kahīñ hogā thāme jigar dekh lenā
ghazab hai tera ek nazar dekh lena
qayamat na ho fitna-gar dekh lena
sambhaalo to tum apni tegh-e-ada ko
meri jaan-dehi ke hunar dekh lena
mera kushta hona teri chashm-poshi
jalana mera ek nazar dekh lena
yahi sar-kashi hai agar teri zalim
kaTa denge hum apna sar dekh lena
hai barik tar-e-nazar se ziyaada
dikhai na degi kamar dekh lena
judai mein lab KHushk hain chashm tar hain
idhar bhi shah-e-bahr-o-bar dekh lena
hai ye taur aankhon ka furqat mein teri
idhar dekh lena udhar dekh lena
main chhuT jaunga baz-purs-e-amal se
inayat se tum ek nazar dekh lena
biThaenge aankhon mein dil mein tujhe hum
pasand aae jo tujh ko ghar dekh lena
jala kar tu ai shama ek dil-jale ko
jalegi sada ta-sahar dekh lena
zamin par paTak degi ai charKH tujh ko
ye aah-e-saria-ul-asar dekh lena
na puchho pata 'akbar'-e-gham-zada ka
kahin hoga thame jigar dekh lena
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 8)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.