sar-e-maqtal jo le kar tegh wo qatil nikalta hai
sar-e-maqtal jo le kar tegh wo qatil nikalta hai
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
sar-e-maqtal jo le kar teġh vo qātil nikaltā hai
kisī kā ḳhuun hotā hai koī ghāyal nikaltā hai
kahāñ jaate ho bālīñ se chale jaanā zarā Thahro
ki dam ke saath armān-e-dil-e-bismil nikaltā hai
jhukī ġham kī ghaTā jaane se tere ashk jaarī haiñ
kahāñ tū aise meñh meñ ai mah-e-kāmil nikaltā hai
chaman meñ tū saman meñ tū dahan meñ tū suḳhan meñ tū
kahīñ āsān hotā hai kahīñ mushkil nikaltā hai
baheñge ḳhuun kis kis ke qazā aa.ī hai kis kis kī
ilāhī ḳhair ḳhanjar le ke phir qātil nikaltā hai
koī un chāhne vāloñ kī āḳhir intihā bhī hai
jise dekho tumhāre husn par maa.il nikaltā hai
sitam ko chhoḌ bad achchhā burā badnām duniyā meñ
jafā ke saath terā naam ai qātil nikaltā hai
mirī hasrat na rah jaaye mirā armāñ na ruk jaaye
qamar haT baam par merā mah-e-kāmil nikaltā hai
maiñ Dar jaatā huuñ goyā vasl kī shab din nikal aayā
jo burqā se sañvar kar vo mah-e-kāmil nikaltā hai
kahāñ hai tū kahīñ hai tū nihāñ hai tū nahīñ hai tū
judā har rañg se har rañg meñ shāmil nikaltā hai
nazar thī yā koī mīThī chhurī thī o but-e-qātil
zabāñ ko chāTtā zaḳhmoñ ko har ghāyal nikaltā hai
tire aage huā hai qāfiya tañg ahl-e-ma.anī kā
tū 'akbar' har ġhazal kī bahr meñ kāmil nikaltā hai
sar-e-maqtal jo le kar tegh wo qatil nikalta hai
kisi ka KHun hota hai koi ghayal nikalta hai
kahan jate ho baalin se chale jaana zara Thahro
ki dam ke sath arman-e-dil-e-bismil nikalta hai
jhuki gham ki ghaTa jaane se tere ashk jari hain
kahan tu aise meinh mein ai mah-e-kaamil nikalta hai
chaman mein tu saman mein tu dahan mein tu suKHan mein tu
kahin aasan hota hai kahin mushkil nikalta hai
bahenge KHun kis kis ke qaza aai hai kis kis ki
ilahi KHair KHanjar le ke phir qatil nikalta hai
koi un chahne walon ki aaKHir intiha bhi hai
jise dekho tumhaare husn par mail nikalta hai
sitam ko chhoD bad achchha bura badnam duniya mein
jafa ke sath tera nam ai qatil nikalta hai
meri hasrat na rah jaye mera arman na ruk jaye
qamar haT baam par mera mah-e-kaamil nikalta hai
main Dar jata hun goya wasl ki shab din nikal aaya
jo burqa se sanwar kar wo mah-e-kaamil nikalta hai
kahan hai tu kahin hai tu nihan hai tu nahin hai tu
juda har rang se har rang mein shamil nikalta hai
nazar thi ya koi miThi chhuri thi o but-e-qatil
zaban ko chaTta zaKHmon ko har ghayal nikalta hai
tere aage hua hai qafiya tang ahl-e-mani ka
tu 'akbar' har ghazal ki bahr mein kaamil nikalta hai
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 71)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.