chala aata hai tanha kya sajila mera qatil hai
chala aata hai tanha kya sajila mera qatil hai
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
chalā aatā hai tanhā kyā sajīlā merā qātil hai
dahan pān-ḳhurda āñkheñ surmagīñ ruḳhsār par til hai
mire dam se tujhe ġhairoñ meñ kyā kyā lutf hāsil hai
sharāb-e-ḳhūn-e-armāñ hai kabāb-e-hasrat-e-dil hai
hai āġhāz-e-shab-e-vasl aur chhurī allāhu-akbar kī
to ai ushshāq ke muuzī muazzin hai ki qātil hai
ye kahte haiñ vo hamrāh-e-adū aa aa ke turbat par
ki mujh ko dekh le uTh to sahī tū kaisā ġhāfil hai
nikal kar zulf se pahuñchūñgā kyūñkar mus.haf-e-ruḳh par
akelā huuñ añdherī raat hai aur duur manzil hai
haiñ raushan anjum-o-shams-o-qamar kī rāt-din sham.eñ
hamāre vāste gardūñ bhī kyā raunaq kī mahfil hai
na pūchho be-dareġhī-hā-e-armān-e-shahīd-e-ġham
idhar jhuktā hai sar khīñchī udhar shamshīr-e-qātil hai
ilāhī dekh kar in.aam tere shukr karte haiñ
hameñ jām-e-jahāñ meñ se sivā har aañkh kā til hai
huiiñ haiñ chār-āñkheñ jab se hai ye tafraqa bāham
kahīñ tan hai kahīñ sar hai kahīñ jaañ hai kahīñ dil hai
jo tujh ko shauq-e-ham-āġhoshī-e-aġhyār hai kāfir
to ham ko zauq-e-sharbat-noshī-e-zahr-e-halāhal hai
ye dil gar vo hai kis kā pher le dil aisī bad-ḳhū se
barahna teġh hai ik haath meñ aur ek meñ dil hai
adā ġhamze karishme ishve haiñ bikhre hue har-sū
saf-e-maqtal meñ yā qātil hai yā andāz-e-qātil hai
ġhazal ik aur bhī haañ 'akbar'-e-rañgīñ-suḳhan paḌhiye
tire ash.ār se vo chand nau-chañdī kī mahfil hai
chala aata hai tanha kya sajila mera qatil hai
dahan pan-KHurda aankhen surmagin ruKHsar par til hai
mere dam se tujhe ghairon mein kya kya lutf hasil hai
sharab-e-KHun-e-arman hai kabab-e-hasrat-e-dil hai
hai aaghaz-e-shab-e-wasl aur chhuri allahu-akbar ki
to ai ushshaq ke muzi muazzin hai ki qatil hai
ye kahte hain wo hamrah-e-adu aa aa ke turbat par
ki mujh ko dekh le uTh to sahi tu kaisa ghafil hai
nikal kar zulf se pahunchunga kyunkar mushaf-e-ruKH par
akela hun andheri raat hai aur dur manzil hai
hain raushan anjum-o-shams-o-qamar ki raat-din shamen
hamare waste gardun bhi kya raunaq ki mahfil hai
na puchho be-dareghi-ha-e-arman-e-shahid-e-gham
idhar jhukta hai sar khinchi udhar shamshir-e-qatil hai
ilahi dekh kar inam tere shukr karte hain
hamein jam-e-jahan mein se siwa har aankh ka til hai
huin hain chaar-ankhen jab se hai ye tafraqa baham
kahin tan hai kahin sar hai kahin jaan hai kahin dil hai
jo tujh ko shauq-e-ham-aghoshi-e-aghyar hai kafir
to hum ko zauq-e-sharbat-noshi-e-zahr-e-halahal hai
ye dil gar wo hai kis ka pher le dil aisi bad-KHu se
barahna tegh hai ek hath mein aur ek mein dil hai
ada ghamze karishme ishwe hain bikhre hue har-su
saf-e-maqtal mein ya qatil hai ya andaz-e-qatil hai
ghazal ek aur bhi han 'akbar'-e-rangin-suKHan paDhiye
tere ashaar se wo chand nau-chandi ki mahfil hai
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 77)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.