kahun kya ki gulshan-e-dahr mein wo ajab karishme dikha gae
kahun kya ki gulshan-e-dahr mein wo ajab karishme dikha gae
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
kahūñ kyā ki gulshan-e-dahr meñ vo ajab karishme dikhā ga.e
kahīñ āshiqoñ ko miTā ga.e kahīñ lan-tarānī sunā ga.e
kabhī dair-o-ka.aba batā diyā kabhī lā-makāñ kā patā diyā
jo ḳhudī ko ham ne miTā diyā to vo apne-āp meñ pā ga.e
kahīñ andalīb-e-shumār meñ kahīñ gul haiñ fasl-e-bahār meñ
kahīñ nuur meñ kahīñ naar meñ vo hazār rañg dikhā ga.e
jo ḳhudā kahūñ to ḳhudā nahīñ jo judā kahūñ to judā nahīñ
koī nukta ham se chhupā nahīñ hamīñ pech-o-tāb meñ aa ga.e
hameñ justujū rahī jā-ba-jā kahīñ terā hī na milā patā
kabhī kāshī jā ke talāsh kī kabhī darshanoñ ko gayā ga.e
kahīñ īn-o-āñ kahīñ shoḳhiyāñ kabhī narmiyāñ kabhī garmiyāñ
kabhī ban ga.e kabhī tan ga.e kabhī chal diye kabhī aa ga.e
hai ye āshiqoñ kī fanā baqā kabhī mar gayā kabhī jī uThā
kahīñ tirchhī nazroñ ne khā liyā kahīñ ishve aa ke jalā ga.e
kahīñ husn ban ke qubūl meñ kahīñ rañg ban ke vo phuul meñ
kahīñ nuur ban ke rasūl meñ vo jamāl apnā dikhā ga.e
tirī jhūñTī-kūñTī bachī-kuchhī jo milī to 'akbar-e-vārsī'
vo bhare nasha kī tarañg meñ ki kahīñ kahīñ kī sunā ga.e
kahun kya ki gulshan-e-dahr mein wo ajab karishme dikha gae
kahin aashiqon ko miTa gae kahin lan-tarani suna gae
kabhi dair-o-kaba bata diya kabhi la-makan ka pata diya
jo KHudi ko hum ne miTa diya to wo apne-ap mein pa gae
kahin andalib-e-shumar mein kahin gul hain fasl-e-bahaar mein
kahin nur mein kahin nar mein wo hazar rang dikha gae
jo KHuda kahun to KHuda nahin jo juda kahun to juda nahin
koi nukta hum se chhupa nahin hamin pech-o-tab mein aa gae
hamein justuju rahi ja-ba-ja kahin tera hi na mila pata
kabhi kashi ja ke talash ki kabhi darshanon ko gaya gae
kahin in-o-an kahin shoKHiyan kabhi narmiyan kabhi garmiyan
kabhi ban gae kabhi tan gae kabhi chal diye kabhi aa gae
hai ye aashiqon ki fana baqa kabhi mar gaya kabhi ji uTha
kahin tirchhi nazron ne kha liya kahin ishwe aa ke jala gae
kahin husn ban ke qubul mein kahin rang ban ke wo phul mein
kahin nur ban ke rasul mein wo jamal apna dikha gae
teri jhunTi-kunTi bachi-kuchhi jo mili to 'akbar-e-warsi'
wo bhare nasha ki tarang mein ki kahin kahin ki suna gae
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 88)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.