jab ki paida wo shah-e-zaman ho gaya
jab ki paidā vo shāh-e-zaman ho gayā
ik jahāñ ġhairat-e-sad-chaman ho gayā
taḳht auñdhe hue aur iblīs bhī
be-vatan be-vatan be-vatan ho gayā
vaqt-e-mīlād har ġhuncha gulzār meñ
ḳhanda-zan ḳhanda-zan ḳhanda-zan ho gayā
aap ke rū-e-raushan par ḳhud shefta
zul-menan zul-menan zul-menan ho gayā
chaak ushshāq kā aap ke hijr meñ
pairahan pairahan pairahan ho gayā
aap ke faiz se bahr-e-fazl-e-ḳhudā
maujzan maujzan maujzan ho gayā
but shikasta hue aur ḳhitāb aap kā
but-shikan but-shikan but-shikan ho gayā
aap ke hijr meñ 'akbar'-e-nīm-jāñ
ḳhasta-tan ḳhasta-tan ḳhasta-tan ho gayā
jab ki paida wo shah-e-zaman ho gaya
ek jahan ghairat-e-sad-chaman ho gaya
taKHt aundhe hue aur iblis bhi
be-watan be-watan be-watan ho gaya
waqt-e-milad har ghuncha gulzar mein
KHanda-zan KHanda-zan KHanda-zan ho gaya
aap ke ru-e-raushan par KHud shefta
zul-menan zul-menan zul-menan ho gaya
chaak ushshaq ka aap ke hijr mein
pairahan pairahan pairahan ho gaya
aap ke faiz se bahr-e-fazl-e-KHuda
maujzan maujzan maujzan ho gaya
but shikasta hue aur KHitab aap ka
but-shikan but-shikan but-shikan ho gaya
aap ke hijr mein 'akbar'-e-nim-jaan
KHasta-tan KHasta-tan KHasta-tan ho gaya
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 108)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.