doston ko hoti hai dushman ke dushman ki talash
doston ko hoti hai dushman ke dushman ki talash
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
dostoñ ko hotī hai dushman ke dushman kī talāsh
pāk-dāman ko hai rahtī pāk-dāman kī talāsh
hashr meñ hone lagī jab dost dushman kī talāsh
ham ne chhupne ke liye kī shah ke dāman kī talāsh
ab ijāzat dafn kī ho jaa.e to jannat mile
yaar ke kūche meñ ham ne jā-e-madfan kī talāsh
sab tamāshe aap meñ haiñ dekh lo aur chhoḌ do
koh kī taftīsh ban kar fikr-e-gulshan kī talāsh
dekh lo tum apnī āñkheñ chaaT lo apnī zabāñ
kyuuñ hai nargis kī tamannā kyuuñ hai sausan kī talāsh
mere sar ko mere dil ko merī āñkhoñ ko rahe
tire dar kī tere ghar kī tere āñgan kī talāsh
masjidoñ meñ shaiḳh ho ho kar kiyā tujh ko talab
but-kadoñ meñ terī ban ban kar barahman kī talāsh
milne vaalā mil hī jā.egā kabhī 'akbar' kaaro
jaan ko taskīn dil meñ justujū tan kī talāsh
doston ko hoti hai dushman ke dushman ki talash
pak-daman ko hai rahti pak-daman ki talash
hashr mein hone lagi jab dost dushman ki talash
hum ne chhupne ke liye ki shah ke daman ki talash
ab ijazat dafn ki ho jae to jannat mile
yar ke kuche mein hum ne ja-e-madfan ki talash
sab tamashe aap mein hain dekh lo aur chhoD do
koh ki taftish ban kar fikr-e-gulshan ki talash
dekh lo tum apni aankhen chaT lo apni zaban
kyun hai nargis ki tamanna kyun hai sausan ki talash
mere sar ko mere dil ko meri aankhon ko rahe
tere dar ki tere ghar ki tere aangan ki talash
masjidon mein shaiKH ho ho kar kiya tujh ko talab
but-kadon mein teri ban ban kar barahman ki talash
milne wala mil hi jaega kabhi 'akbar' karo
jaan ko taskin dil mein justuju tan ki talash
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 36)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.