raaz-e-dil kis ko sunaen raazdan milta nahin
rāz-e-dil kis ko sunā.eñ rāzdāñ miltā nahīñ
jaan jaatī hai ġhazab hai jān-e-jāñ miltā nahīñ
jis makāñ meñ tū makīñ hai vo makāñ miltā nahīñ
justujū meñ gum hue aise nishāñ miltā nahīñ
ruuh raahī ho ga.ī hai chhoḌ kar jism-e-galī
ḳhaak uḌtī hai nishān-e-kārvāñ miltā nahīñ
dāvar-e-mahshar qayāmat hai mirī fariyād hai
le gayā dil chhīn kar ik dil-sitāñ miltā nahīñ
tujh se milne kā batā phir kaun sā din aa.egā
iid ko bhī mujh se gar ai merī jaañ miltā nahīñ
us but-e-nā-mehrbāñ se phir milā de ek baar
yā-ilāhī koī aisā mehrbāñ miltā nahīñ
miltā jultā rahtā hai vo aam se aur mujh se ḳhaas
hāñ-meñ-hāñ miltī nahīñ jab tak nihāñ miltā nahīñ
bel meñ buuTe meñ phal meñ pattiyoñ meñ phuul meñ
har chaman meñ us kā maz.har hai kahāñ miltā nahīñ
saañs ke chābuk kī zad ne dam meñ pahuñchāyā adam
kuchh surāġh-e-tausan-e-umr-e-ravāñ miltā nahīñ
jaisī chāhe koshisheñ kar vā.iz-e-bātin-ḳharāb
tere rahne ko to jannat meñ makāñ miltā nahīñ
kam nahīñ gulshan meñ shabnam gul-badan gul-pairahan
ġhusl kar mal-mal ke gar āb-e-ravāñ miltā nahīñ
kis se pūchhūñ shahr-e-ḳhāmoshāñ meñ sab ḳhāmosh haiñ
ḳhaak miltī hai surāġh-e-raftagāñ miltā nahīñ
kyā batā.eñ kyā sunā.eñ kyā paḌheñ 'akbar' ġhazal
koī duniyā meñ suḳhan kā qadr-dāñ miltā nahīñ
raaz-e-dil kis ko sunaen raazdan milta nahin
jaan jati hai ghazab hai jaan-e-jaan milta nahin
jis makan mein tu makin hai wo makan milta nahin
justuju mein gum hue aise nishan milta nahin
ruh rahi ho gai hai chhoD kar jism-e-gali
KHak uDti hai nishan-e-karwan milta nahin
dawar-e-mahshar qayamat hai meri fariyaad hai
le gaya dil chhin kar ek dil-sitan milta nahin
tujh se milne ka bata phir kaun sa din aaega
id ko bhi mujh se gar ai meri jaan milta nahin
us but-e-na-mehrban se phir mila de ek bar
ya-ilahi koi aisa mehrban milta nahin
milta julta rahta hai wo aam se aur mujh se KHas
han-men-han milti nahin jab tak nihan milta nahin
bel mein buTe mein phal mein pattiyon mein phul mein
har chaman mein us ka mazhar hai kahan milta nahin
sans ke chabuk ki zad ne dam mein pahunchaya adam
kuchh suragh-e-tausan-e-umr-e-rawan milta nahin
jaisi chahe koshishen kar waiz-e-baatin-KHarab
tere rahne ko to jannat mein makan milta nahin
kam nahin gulshan mein shabnam gul-badan gul-pairahan
ghusl kar mal-mal ke gar aab-e-rawan milta nahin
kis se puchhun shahr-e-KHamoshan mein sab KHamosh hain
KHak milti hai suragh-e-raftagan milta nahin
kya bataen kya sunaen kya paDhen 'akbar' ghazal
koi duniya mein suKHan ka qadr-dan milta nahin
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 43)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.