Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye pyar mohabbat ki ramzen ya tum jaano ya hum jaanen

Akbar Warsi Meerthi

ye pyar mohabbat ki ramzen ya tum jaano ya hum jaanen

Akbar Warsi Meerthi

ye pyaar mohabbat ramzeñ tum jaano ham jāneñ

tum samjho ham samjheñ tum jaano ham jāneñ

bandoñ se hamāre kah denā jaisā bonā vaisā lenā

jo jaa.eñ vo le jaa.eñ tum jaano ham jāneñ

tahqīq jo qīl-o-qāl huī vo sab misdāq-e-hāl huī

kuchh tum kah do kuchh ham kah deñ tum jaano ham jāneñ

irfāñ jānib ḳhuub ga.e bahr-e-vahdat meñ Duub ga.e

kasrat meñ thiiñ ye sab bāteñ tum jaano ham jāneñ

qābaqausain o adnā jhurmuT maar ke yuuñ bolā

tum ham se milo ham tum se mileñ tum jaano ham jāneñ

tum ne ham ko pahchān liyā ham ne bhī tum ko jaan liyā

ab ye parde bhī uTh jaa.eñ tum jaano ham jāneñ

jo dekhnā thā vo dekh liyā jo sunñā thā vo sun liyā

ab jo jāneñ vo pahchāneñ tum jaano ham jāneñ

'akbar' ab hosh meñ aa jaao bas bas na ziyāda kahalvāo

asrār-e-haqīqat bāteñ tum jaano ham jāneñ

ye pyar mohabbat ki ramzen ya tum jaano ya hum jaanen

ya tum samjho ya hum samjhen ya tum jaano ya hum jaanen

bandon se hamare kah dena jaisa bona waisa lena

jo di jaen wo le jaen ya tum jaano ya hum jaanen

tahqiq jo qil-o-qal hui wo sab misdaq-e-haal hui

kuchh tum kah do kuchh hum kah den ya tum jaano ya hum jaanen

irfan ki jaanib KHub gae bahr-e-wahdat mein Dub gae

kasrat mein thin ye sab baaten ya tum jaano ya hum jaanen

qabaqausain o adna ka jhurmuT mar ke yun bola

tum hum se milo hum tum se milen ya tum jaano ya hum jaanen

tum ne hum ko pahchan liya hum ne bhi tum ko jaan liya

ab ye parde bhi uTh jaen ya tum jaano ya hum jaanen

jo dekhna tha wo dekh liya jo sunna tha wo sun hi liya

ab jo jaanen wo pahchanen ya tum jaano ya hum jaanen

'akbar' ab hosh mein aa jao bas bas na ziyaada kahalwao

asrar-e-haqiqat ki baaten ya tum jaano ya hum jaanen

Source :
  • Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 50)
  • Author : Mohammad Akbar Warsi
  • Publication : Matba Majidi, Meerut
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now