saqi hai mera wo shah-e-zaman subhan-allah subhan-allah
saqi hai mera wo shah-e-zaman subhan-allah subhan-allah
Akbar Warsi Meerthi
MORE BYAkbar Warsi Meerthi
saaqī hai mirā vo shāh-e-zaman sub.hān-allāh sub.hān-allāh
kyā ḳhuub khilā hai dil kā chaman sub.hān-allāh sub.hān-allāh
jalve se tire hai kab ḳhālī phal phuul phalī patta Daalī
hai rañg tirā gulshan gulshan sub.hān-allāh sub.hān-allāh
nazdīk haiñ ye yā duur haiñ ye har vaqt nashe meñ chuur haiñ ye
mastoñ kī hai saaqī se lagan sub.hān-allāh sub.hān-allāh
gar dil meñ chashm-e-bīnā ho but-ḳhāna ho yā ka.aba ho
ghar ghar meñ haiñ us ke darshan sub.hān-allāh sub.hān-allāh
va-hova-ma.akum kī pukār aa.ī ahdum-minkum kī bahār aa.ī
va-anā-basharun kī uThī chilman sub.hān-allāh sub.hān-allāh
kyuuñ dhuum na merī ho har-sū āñkhoñ meñ basā hai tū hī tū
fī-anfosekum kā ye joban sub.hān-allāh sub.hān-allāh
jab zaat ke saath sifāt huī vahdat kasrat kī barāt huī
haiñ aap hī dūlhā aap dūlhan sub.hān-allāh sub.hān-allāh
vo pichhlī bāteñ duur kaaro aage aanā manzūr kaaro
ab mujh meñ dekho apnī phaban sub.hān-allāh sub.hān-allāh
jis vaqt guru ne dī daarū har roñgTā bolā allāh-hū
anhad se rañg diyā tan-man sub.hān-allāh sub.hān-allāh
bahrūp bharūñ deve jā۔ūñ ye sab kī zabāñ se kahlā.ūñ
vo aa.ī 'vāris' kī jogan sub.hān-allāh sub.hān-allāh
ābād rahe ye mai-ḳhāna 'akbar' ko pilā vo paimāna
ho marte dam tak ye hī suḳhan sub.hān-allāh sub.hān-allāh
saqi hai mera wo shah-e-zaman subhan-allah subhan-allah
kya KHub khila hai dil ka chaman subhan-allah subhan-allah
jalwe se tere hai kab KHali phal phul phali patta Dali
hai rang tera gulshan gulshan subhan-allah subhan-allah
nazdik hain ye ya dur hain ye har waqt nashe mein chur hain ye
maston ki hai saqi se lagan subhan-allah subhan-allah
gar dil mein chashm-e-bina ho but-KHana ho ya kaba ho
ghar ghar mein hain us ke darshan subhan-allah subhan-allah
wa-howa-makum ki pukar aai ahdum-minkum ki bahaar aai
wa-ana-basharun ki uThi chilman subhan-allah subhan-allah
kyun dhum na meri ho har-su aankhon mein basa hai tu hi tu
fi-anfosekum ka ye joban subhan-allah subhan-allah
jab zat ke sath sifat hui wahdat kasrat ki baraat hui
hain aap hi dulha aap dulhan subhan-allah subhan-allah
wo pichhli baaten dur karo aage aana manzur karo
ab mujh mein dekho apni phaban subhan-allah subhan-allah
jis waqt guru ne di daru har rongTa bola allah-hu
anhad se rang diya tan-man subhan-allah subhan-allah
bahrup bharun dewe ja۔un ye sab ki zaban se kahlaun
wo aai 'waris' ki jogan subhan-allah subhan-allah
aabaad rahe ye mai-KHana 'akbar' ko pila wo paimana
ho marte dam tak ye hi suKHan subhan-allah subhan-allah
- Book : Riyaz-e-Akbar: Asli Diwan-e-Akbar (Pg. 68)
- Author : Mohammad Akbar Warsi
- Publication : Matba Majidi, Meerut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.