fart-e-gham-o-hirman mein bhi yak-guna KHushi hai
fart-e-gham-o-hirman mein bhi yak-guna KHushi hai
Jami Chiraiyakoti
MORE BYJami Chiraiyakoti
fart-e-ġham-o-hirmāñ meñ bhī yak-gūna ḳhushī hai
nākāmī paiham hai magar zinda-dilī hai
afsurda huuñ maiñ aap ke hoñToñ pe hañsī hai
shāyad abhī takmīl-e-mohabbat meñ kamī hai
dil sho.ala-ba-dāmāñ hai aur ashkoñ kī jhaḌī hai
barsāt kā mausam hai magar aag lagī hai
kis muñh se kahūñ maiñ ye baḌī be-adabī hai
piinā na jise chāhe kuchh us ne bhī pī hai
jo ḳhud na piye dūsroñ kī pyaas bujhā de
saaqī tire mai-ḳhāna kā mai-ḳhvār vahī hai
kis jurm kī miltī hai sazā dast-e-talab ko
har vaqt duā.eñ haiñ magar be-asarī hai
pahle mirā sar jhuktā thā har naqsh-e-qadam par
ab rāh-e-vafā mere qadam chuum rahī hai
is vaqt lagā luuñ maiñ kise apne gale se
ik samt vo haiñ ek taraf maut khaḌī hai
añgḌā.iyāñ letī huī aa.ī haiñ bahāreñ
'jāmī' kī nazar jab suu.ye gulzār uThī hai
fart-e-gham-o-hirman mein bhi yak-guna KHushi hai
nakaami paiham hai magar zinda-dili hai
afsurda hun main aap ke honTon pe hansi hai
shayad abhi takmil-e-mohabbat mein kami hai
dil shoala-ba-daman hai aur ashkon ki jhaDi hai
barsat ka mausam hai magar aag lagi hai
kis munh se kahun main ye baDi be-adabi hai
pina na jise chahe kuchh us ne bhi pi hai
jo KHud na piye dusron ki pyas bujha de
saqi tere mai-KHana ka mai-KHwar wahi hai
kis jurm ki milti hai saza dast-e-talab ko
har waqt duaen hain magar be-asari hai
pahle mera sar jhukta tha har naqsh-e-qadam par
ab rah-e-wafa mere qadam chum rahi hai
is waqt laga lun main kise apne gale se
ek samt wo hain ek taraf maut khaDi hai
angDaiyan leti hui aai hain bahaaren
'jami' ki nazar jab suye gulzar uThi hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 100)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.