aap KHush hain meri aankh tar hai
aap ḳhush haiñ mirī aañkh tar hai
apnā apnā ye zarf-e-nazar hai
a.alam-e-husn zer-o-zabar hai
merī aahoñ meñ itnā asar hai
bāb-e-tauba khulā hai mafar hai
terī ke pe merī nazar hai
koī samjhāne vaalā nahīñ kyā
ishq anjām se be-ḳhabar hai
utnī hī us meñ rañgīniyāñ haiñ
zindagī jis qadr muḳhtasar hai
us adā par nichhāvar hoñ sajde
paaye saaqī pe 'jāmī' kā sar hai
aap KHush hain meri aankh tar hai
apna apna ye zarf-e-nazar hai
aalam-e-husn zer-o-zabar hai
meri aahon mein itna asar hai
bab-e-tauba khula hai mafar hai
teri ke pe meri nazar hai
koi samjhane wala nahin kya
ishq anjam se be-KHabar hai
utni hi us mein ranginiyan hain
zindagi jis qadr muKHtasar hai
us ada par nichhawar hon sajde
paye saqi pe 'jami' ka sar hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 101)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.