sang-e-dar-e-jaanan par aisi ho jabin-sai
sañg-e-dar-e-jānāñ par aisī ho jabīñ-sā.ī
ḳhud husn pas-e-parda ho jaa.e tamāshā.ī
maiñ huuñ shab-e-furqat hī yā hai mirī tanhā.ī
hai dekhne ke qābil ye anjuman ārā.ī
har zarra hai ā.īna us husn ke jalvoñ kā
vo ḳhud hī tamāshā hai aur ḳhud hī tamāshā.ī
takmīl junūñ ai dil tauhīn-e-mohabbat hai
manzil pe pahuñch jaatā hai shauq kī rusvā.ī
arbāb-e-vafā pahle marne kā chalan sīkheñ
tab un ko navāzegā andāz-e-masīhā.ī
bahlāne ko bahlā.ūñ maiñ dil ġham-e-jānāñ se
kyā hogā jo ye sūrat us dil ko na raas aa.ī
rotā hai kabhī 'jāmī' hañstā hai kabhī 'jāmī'
dīvāna to dīvāna saudā.ī to saudā.ī
sang-e-dar-e-jaanan par aisi ho jabin-sai
KHud husn pas-e-parda ho jae tamashai
main hun shab-e-furqat hi ya hai meri tanhai
hai dekhne ke qabil ye anjuman aarai
har zarra hai aaina us husn ke jalwon ka
wo KHud hi tamasha hai aur KHud hi tamashai
takmil junun ai dil tauhin-e-mohabbat hai
manzil pe pahunch jata hai shauq ki ruswai
arbab-e-wafa pahle marne ka chalan sikhen
tab un ko nawazega andaz-e-masihai
bahlane ko bahlaun main dil gham-e-jaanan se
kya hoga jo ye surat us dil ko na ras aai
rota hai kabhi 'jami' hansta hai kabhi 'jami'
diwana to diwana saudai to saudai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 101)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.