wahi jagah hai muqaddar ke aazmane ki
vahī jagah hai muqaddar ke āzmāne kī
jhukī huī hai jabīñ jahāñ zamāne kī
adā na dekho sitāroñ ke muskurāne kī
ye hai hasīn jhalak bijliyāñ girāne kī
fazā batātī hai tāroñ ke Duub jaane kī
ki sub.h-e-nau meñ bhī haiñ zulmateñ zamāne kī
jo māñgte the duā.eñ bahār aane kī
inhīñ ko fikr hai ab āshiyāñ bachāne kī
farāz-e-tūr se dār-o-rasan kī manzil tak
sadā.eñ guuñj rahī haiñ mire tarāne kī
diye haiñ husn ne kitne hasīn fareb magar
ga.ī na ishq kī aadat fareb khāne kī
ba-qadr-e-zarf badaltā hai rañg mastī kā
hai varna ek hī sahbā sharāb-ḳhāne kī
na kar zamāne kī taqlīd nā-ravā 'arshī'
ki tere haath meñ raftār hai zamāne kī
wahi jagah hai muqaddar ke aazmane ki
jhuki hui hai jabin jahan zamane ki
ada na dekho sitaron ke muskurane ki
ye hai hasin jhalak bijliyan girane ki
faza batati hai taron ke Dub jaane ki
ki subh-e-nau mein bhi hain zulmaten zamane ki
jo mangte the duaen bahaar aane ki
inhin ko fikr hai ab aashiyan bachane ki
faraaz-e-tur se dar-o-rasan ki manzil tak
sadaen gunj rahi hain mere tarane ki
diye hain husn ne kitne hasin fareb magar
gai na ishq ki aadat fareb khane ki
ba-qadr-e-zarf badalta hai rang masti ka
hai warna ek hi sahba sharab-KHane ki
na kar zamane ki taqlid na-rawa 'arshi'
ki tere hath mein raftar hai zamane ki
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 219)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.