nigah-e-naz ke andaz dekho
nigāh-e-nāz ke andāz dekho
koī jalva ho jalva-sāz dekho
na khul jaa.e diloñ kā raaz dekho
tum apnā ġhamzā-e-ġhmmāz dekho
niyāz ā.ga.īñ jabīn-e-dil jhukā do
jahāñ bhī naqsh paa.e naaz dekho
hai sargarm tajallī-e-husn ḳhud hī
ye soz-e-ishq kā e.ajāz dekho
zabāñ se kyā kareñ tafsīr ġham kī
nazar meñ hai nazar kā raaz dekho
nigāh-e-ishq us kī ḳhāk-e-pā hai
nigāh-e-ishq kī parvāz dekho
bahut kī sair 'arshī' mābadoñ kī
zarā chal kar harīm-e-nāz dekho
nigah-e-naz ke andaz dekho
koi jalwa ho jalwa-saz dekho
na khul jae dilon ka raaz dekho
tum apna ghamza-e-ghmmaz dekho
niyaz aagain jabin-e-dil jhuka do
jahan bhi naqsh pae naz dekho
hai sargarm tajalli-e-husn KHud hi
ye soz-e-ishq ka eajaz dekho
zaban se kya karen tafsir gham ki
nazar mein hai nazar ka raaz dekho
nigah-e-ishq us ki KHak-e-pa hai
nigah-e-ishq ki parwaz dekho
bahut ki sair 'arshi' mabadon ki
zara chal kar harim-e-naz dekho
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 219)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.