ghuncha mujhse hai chaman se bahaaran mujhse
ġhuncha mujh se hai chaman se bahārāñ mujh se
jalva-sāmānī a.alam kā hai sāmāñ mujh se
vhshate-e-āgīñ hai gulistāñ kā gulistāñ mujh se
ab to nazāra bhī rahtā hai pareshāñ mujh se
yuuñ to kuchh bhī na sahī merī haqīqat lekin
ye haqīqat hai ki insāñ bhī hai insāñ mujh se
bas hai ye faḳhr mirī chāk-e-garebānī ko
paak dāmānoñ kā sābit hai garebāñ mujh se
ab ye sūrat hai mare tarz jinnoñ kī arshī
dāman uljhe hai garebāñ se garebāñ mujh se
ghuncha mujh se hai chaman se bahaaran mujh se
jalwa-samani aalam ka hai saman mujh se
whshate-e-agin hai gulistan ka gulistan mujh se
ab to nazara bhi rahta hai pareshan mujh se
yun to kuchh bhi na sahi meri haqiqat lekin
ye haqiqat hai ki insan bhi hai insan mujh se
bas hai ye faKHr meri chaak-e-garebani ko
pak damanon ka sabit hai gareban mujh se
ab ye surat hai mare tarz jinnon ki arshi
daman uljhe hai gareban se gareban mujh se
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 220)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.