jahan mein tum sa hoga dusra kya
jahāñ meñ tum sā hogā dūsrā kyā
tumhīñ tum ho tumhārā pūchhnā kyā
sunegā koī ġham kā mājrā kyā
shikast shīsha-e-dil kī sadā kyā
mujhe merī nigāhoñ se chhupāyā
mazāq-e-dīd ye tujh ko huā kyā
karam jo aap kā chāhe vo de de
dil-e-be-mudda.ā māñge duā kyā
nazar ko kar na pāband-e-ta.ayyun
nazar kī ibtidā kyā intihā kyā
mohabbat zindagī hai zindagī hai
mohabbat meñ fanā kyā hai baqā kyā
nazar khoī huī thī bijliyoñ meñ
na.e parde gire parda uThā kyā
vafā dushman hai fitrat jin kī 'arshī'
zabāñ par un kī hai nām-e-ḳhudā kyā
jahan mein tum sa hoga dusra kya
tumhin tum ho tumhaara puchhna kya
sunega koi gham ka majra kya
shikast shisha-e-dil ki sada kya
mujhe meri nigahon se chhupaya
mazaq-e-did ye tujh ko hua kya
karam jo aap ka chahe wo de de
dil-e-be-muddaa mange dua kya
nazar ko kar na paband-e-tayyun
nazar ki ibtida kya intiha kya
mohabbat zindagi hai zindagi hai
mohabbat mein fana kya hai baqa kya
nazar khoi hui thi bijliyon mein
nae parde gire parda uTha kya
wafa dushman hai fitrat jin ki 'arshi'
zaban par un ki hai nam-e-KHuda kya
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 220)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.