be-gana-e-haal-e-zabun ke liye aaina-e-mustaqibl ho ja
be-gana-e-haal-e-zabun ke liye aaina-e-mustaqibl ho ja
Arshi Aurangabadi
MORE BYArshi Aurangabadi
be-gāna-e-hāl-e-zabūñ ke liye ā.īna-e-mustaqibl ho jā
har gum-karda manzil ke liye tuuhī ḳhizr-e-manzil ho jā
ik hashr bapā karne ke liye āvāz-e-shikast-e-dil ho jā
qātil bhī jo dekhe ho bismil vo raqs-e-dil bismil ho jā
yā soz-e-dil parvāna ban yā sham.a-e-sar-e-mahfil ho jā
ya.anī duniyā-e-mohabbat meñ rahne ke tū qābil ho jā
har qalb kī tū bijlī ho jā har ruuh kī tū mastī ban jā
har dard kā tū darmāñ ban jā har armāñ kā hāsil ho jā
ban jā tū kabhī tasvīr-e-junūñ dikhlā tū kabhī zabt-e-āqil
ya.anī ho ravānī meñ dariyā ruk jaane meñ sāhil ho jā
rahbar kī zarūrat kyā tujh ko rahvār kī hājat kyā tujh ko
ḳhud hī jaada ḳhud hī rahrav ḳhud hī ḳhizr-e-manzil ho jā
gar diin kā sālik ho na sakā duniyā hī kā tū mālik ho jā
yā marne kā hāsil ho jā yā jiine kā hāsil ho jā
īsār-o-kHalq-o-muravavat kā putlā ban kar phir duniyā meñ
bismil ke liye ho vaj.h-e-sukūñ be-dil ke liye tū dil ho jā
me.ār-e-sadāqat ban kar phir tū jalva-numā ho duniyā meñ
phir banda-e-hirs-o-havā ke liye tamīz-e-haq-o-bātil ho jā
phir paikar-e-josh-e-jinnoñ ban kar ho jā duniyā kī rūh-e-ravāñ
phir ho ke shahīd-e-hubb-e-vatan zindoñ meñ tū shāmil ho jā
be-gana-e-haal-e-zabun ke liye aaina-e-mustaqibl ho ja
har gum-karda manzil ke liye tuhi KHizr-e-manzil ho ja
ek hashr bapa karne ke liye aawaz-e-shikast-e-dil ho ja
qatil bhi jo dekhe ho bismil wo raqs-e-dil bismil ho ja
ya soz-e-dil parwana ban ya shama-e-sar-e-mahfil ho ja
yani duniya-e-mohabbat mein rahne ke tu qabil ho ja
har qalb ki tu bijli ho ja har ruh ki tu masti ban ja
har dard ka tu darman ban ja har arman ka hasil ho ja
ban ja tu kabhi taswir-e-junun dikhla tu kabhi zabt-e-aqil
yani ho rawani mein dariya ruk jaane mein sahil ho ja
rahbar ki zarurat kya tujh ko rahwar ki hajat kya tujh ko
KHud hi jada KHud hi rahraw KHud hi KHizr-e-manzil ho ja
gar din ka salik ho na saka duniya hi ka tu malik ho ja
ya marne ka hasil ho ja ya jine ka hasil ho ja
isar-o-kHalq-o-murawawat ka putla ban kar phir duniya mein
bismil ke liye ho wajh-e-sukun be-dil ke liye tu dil ho ja
mear-e-sadaqat ban kar phir tu jalwa-numa ho duniya mein
phir banda-e-hirs-o-hawa ke liye tamiz-e-haq-o-baatil ho ja
phir paikar-e-josh-e-jinnon ban kar ho ja duniya ki ruh-e-rawan
phir ho ke shahid-e-hubb-e-watan zindon mein tu shamil ho ja
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 222)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.