jhuTi masarraton ka samar le ke aae hain
jhūTī masarratoñ kā samar le ke aa.e haiñ
shahr-e-vafā se dīda-e-tar le ke aa.e haiñ
kis se kaheñ ki kitne hasīñ ḳhvāb chhīn kar
vo muzda-e-tulū'-e-sahar le ke aa.e haiñ
jab bhī farāz daar pe aa.ī vafā kī baat
dīvāne apnā kāsa-e-sar le ke aa.e haiñ
ehsās-e-nā-murādī-o-mahrūmī-o-thakan
din-bhar ke baa’d ham yahī ghar le ke aa.e haiñ
ilzām-e-be-vafā.ī hameñ yuuñ na de ki ham
terī hī bazm se ye hunar le ke aa.e haiñ
yārān-e-kam-nigāh bhī kuchh aaj rū-ba-rū
farsūdagī-e-zauq-e-nazar le ke aa.e haiñ
bahlā sakoge ham ko na 'shādāb' hañs ke tum
ham dil meñ jhāñkne kī nazar le ke aa.e haiñ
jhuTi masarraton ka samar le ke aae hain
shahr-e-wafa se dida-e-tar le ke aae hain
kis se kahen ki kitne hasin KHwab chhin kar
wo muzda-e-tulu'-e-sahar le ke aae hain
jab bhi faraaz dar pe aai wafa ki baat
diwane apna kasa-e-sar le ke aae hain
ehsas-e-na-muradi-o-mahrumi-o-thakan
din-bhar ke ba’d hum yahi ghar le ke aae hain
ilzam-e-be-wafai hamein yun na de ki hum
teri hi bazm se ye hunar le ke aae hain
yaran-e-kam-nigah bhi kuchh aaj ru-ba-ru
farsudagi-e-zauq-e-nazar le ke aae hain
bahla sakoge hum ko na 'shadab' hans ke tum
hum dil mein jhankne ki nazar le ke aae hain
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 164)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.