unki mahfil ka ye dastur naya dekha hai
un kī mahfil kā ye dastūr nayā dekhā hai
haiñ jo āsūda karam un pe sivā dekhā hai
Dūbne vaale pe kyā guzrī ye ma'alūm nahīñ
ek majma’-sā kināre pe lagā dekhā hai
kyā zarūrī hai ki har ḳhvāb kī tā'bīr bhī ho
jī to ḳhush hai ki phir ik ḳhvāb nayā dekhā hai
yuuñ lagā jaise ho ye bhī kisī muflis kā vajūd
ḳhushk patta jo kabhī uḌtā huā dekhā hai
jaane kyā baat thī un mehñdī rache hāthoñ meñ
maiñ ne nam aañkh ko ham-rañg hinā dekhā hai
tum ko 'shādāb' maiñ dīvāna kahūñ kis muñh se
maiñ ne farzānoñ ko dīvāna banā dekhā hai
un ki mahfil ka ye dastur naya dekha hai
hain jo aasuda karam un pe siwa dekha hai
Dubne wale pe kya guzri ye ma'alum nahin
ek majma’-sa kinare pe laga dekha hai
kya zaruri hai ki har KHwab ki ta'bir bhi ho
ji to KHush hai ki phir ek KHwab naya dekha hai
yun laga jaise ho ye bhi kisi muflis ka wajud
KHushk patta jo kabhi uDta hua dekha hai
jaane kya baat thi un mehndi rache hathon mein
main ne nam aankh ko ham-rang hina dekha hai
tum ko 'shadab' main diwana kahun kis munh se
main ne farzanon ko diwana bana dekha hai
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 164)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.