izhaar-e-gham-e-hasti had se na guzar jae
iz.hār-e-ġham-e-hastī had se na guzar jaa.e
aisā na ho jiine kā ehsās bhī mar jaa.e
hālāt ke tūfān meñ kashtī hai ummīdoñ kī
Takrā ke thapeḌoñ se kyā jaane kidhar jaa.e
aise kisī saaya meñ so jaane se kyā hāsil
jab niiñd zarā TuuTe har ḳhvāb bikhar jaa.e
qismat ko bhī kyā koī tum zulf samajhte ho
jab chāho bikhar jaa.e jab chāho sañvar jaa.e
har rahrav-e-manzil ko 'shādāb' ye lāzim hai
uljhe na kahīñ dāman kāñToñ se guzar jaa.e
izhaar-e-gham-e-hasti had se na guzar jae
aisa na ho jine ka ehsas bhi mar jae
haalat ke tufan mein kashti hai ummidon ki
Takra ke thapeDon se kya jaane kidhar jae
aise kisi saya mein so jaane se kya hasil
jab nind zara TuTe har KHwab bikhar jae
qismat ko bhi kya koi tum zulf samajhte ho
jab chaho bikhar jae jab chaho sanwar jae
har rahraw-e-manzil ko 'shadab' ye lazim hai
uljhe na kahin daman kanTon se guzar jae
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 165)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.