kijiye kis se bayan-e-dard-e-dil
kījiye kis se bayān-e-dard-e-dil
kaun suntā hai fuġhān-e-dard-e-dil
jazba-e-dil se ho pur jis kā zamīr
vo samajhtā hai zabān-e-dard-e-dil
apnī hastī ko miTānā hai baqā
miT nahīñ saktā nishān-e-dard-e-dil
zindagī miltī hai un ko ġhaib se
sab haiñ zinda kushtagān-e-dard-e-dil
mauj meñ aa ab to ai bahr-e-karam
muntazir haiñ tishnigān-e-dard-e-dil
un kī ulfat hai madār-e-zindagī
hai yahī rūh-e-ravān dard-e-dil
bijliyāñ us par girī haiñ husn kī
jal gayā yuuñ āshiyān-e-dard-e-dil
koī jā kar un se kah de hāl-e-zār
hai taḌaptā nīm-e-jān-e-dard-e-dil
mayyat-e-āshiq hai tanhā be-kafan
hai mohabbat nauha ḳhvān dard dil
jazba-e-dil kī kashish kā ye asar
vo bhī haiñ ab ham-zabān-e-dard-e-dil
ġham meñ tere mubtalā 'irshād' hai
kyā kahe rāz-e-nihān-e-dard-e-dil
kijiye kis se bayan-e-dard-e-dil
kaun sunta hai fughan-e-dard-e-dil
jazba-e-dil se ho pur jis ka zamir
wo samajhta hai zaban-e-dard-e-dil
apni hasti ko miTana hai baqa
miT nahin sakta nishan-e-dard-e-dil
zindagi milti hai un ko ghaib se
sab hain zinda kushtagan-e-dard-e-dil
mauj mein aa ab to ai bahr-e-karam
muntazir hain tishnigan-e-dard-e-dil
un ki ulfat hai madar-e-zindagi
hai yahi ruh-e-rawan dard-e-dil
bijliyan us par giri hain husn ki
jal gaya yun aashiyan-e-dard-e-dil
koi ja kar un se kah de haal-e-zar
hai taDapta nim-e-jaan-e-dard-e-dil
mayyat-e-ashiq hai tanha be-kafan
hai mohabbat nauha KHwan dard dil
jazba-e-dil ki kashish ka ye asar
wo bhi hain ab ham-zaban-e-dard-e-dil
gham mein tere mubtala 'irshad' hai
kya kahe raaz-e-nihan-e-dard-e-dil
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 40)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.