wo KHiraman jo su-e-jazba-e-dil jate hain
vo ḳhirāmāñ jo sū-e-jazba-e-dil jaate haiñ
qāyame arsh ke Thahre hue hil jaate haiñ
un kī aamad kī masarrat se ḳhabar sunte hī
ġhuñcha-hā۔e-dil hasrat-zada khil jaate haiñ
vo agar sañg dilī meñ hue mashshāq to ham
shīsha dil pe liye sabr kī sil jaate haiñ
jazba-e-dil kī kashish sayyad 'irshād' ye hai
ba.ad muddat ke vo bichhḌe hue mil jaate haiñ
wo KHiraman jo su-e-jazba-e-dil jate hain
qayame arsh ke Thahre hue hil jate hain
un ki aamad ki masarrat se KHabar sunte hi
ghuncha-ha۔e-dil hasrat-zada khil jate hain
wo agar sang dili mein hue mashshaq to hum
shisha dil pe liye sabr ki sil jate hain
jazba-e-dil ki kashish sayyad 'irshad' ye hai
baad muddat ke wo bichhDe hue mil jate hain
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.V (Pg. 41)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.