jab kabhī un kī justujū kī hai
har qadam par nigāh chūkī hai
intihā ye bhī justujū kī hai
amdan tark-e-ārzū kī hai
vo bhī thā ik maqām-e-shauq jahāñ
ham ne ḳhud apnī justujū kī hai
sun ke qāsid kī baat yuuñ ḳhush huuñ
jaise ḳhud un se guftugū kī hai
yuuñ to milne ko rose milte haiñ
raat to un se guftugū kī hai
ban ga.ī nañg-e-chāk dāmānī
jab kabhī ḳhvāhish-e-rafū kī hai
har kalī phuul ban ke murjhā.ī
ye kamī fitrat numū kī hai
jis pe duniyā ko faḳhr hai 'aslam'
vo zabāñ ḳhaas lakhnavī kī hai
jab kabhi un ki justuju ki hai
har qadam par nigah chuki hai
intiha ye bhi justuju ki hai
amdan tark-e-arzu ki hai
wo bhi tha ek maqam-e-shauq jahan
hum ne KHud apni justuju ki hai
sun ke qasid ki baat yun KHush hun
jaise KHud un se guftugu ki hai
yun to milne ko rose milte hain
raat to un se guftugu ki hai
ban gai nang-e-chaak damani
jab kabhi KHwahish-e-rafu ki hai
har kali phul ban ke murjhai
ye kami fitrat numu ki hai
jis pe duniya ko faKHr hai 'aslam'
wo zaban KHas lakhnawi ki hai
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 47)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.