har adā un kī harīf shab-e-tanhā.ī hai
vaqt hālāt kā ḳhāmosh tamāshā.ī hai
husn be-parda hai aur chashm-e-tamāshā.ī hai
aaj duniyā-e-mohabbat meñ bahār aa.ī hai
is tarah nazroñ se dil miltā hai dil se nazreñ
jaise in donoñ meñ muddat se shanāsā.ī hai
āfiyat soz-e-junūñ anjuman-ārā hai udhar
apne jalvoñ meñ idhar a.alam-e-tanhā.ī hai
aañkh malte hue aur ḳhvāb se uThne vaale
jaan le lī mirī ye bhī koī añgḌā.ī hai
zindagī meñ bhī rahī saath rafīqoñ kī tarah
ba.ad marne ke bhī monis shab-e-tanhā.ī hai
dekhiye ab na kahīñ ahd vafā kā TuuTe
aap ne apnī javānī kī qasam khaa.ī hai
raah lag apnī tū ai josh-e-bahār-e-ummīd
dil ko marġhūb mire ālam-e-tanhā.ī hai
har ada un ki harif shab-e-tanhai hai
waqt haalat ka KHamosh tamashai hai
husn be-parda hai aur chashm-e-tamashai hai
aaj duniya-e-mohabbat mein bahaar aai hai
is tarah nazron se dil milta hai dil se nazren
jaise in donon mein muddat se shanasai hai
aafiyat soz-e-junun anjuman-ara hai udhar
apne jalwon mein idhar aalam-e-tanhai hai
aankh malte hue aur KHwab se uThne wale
jaan le li meri ye bhi koi angDai hai
zindagi mein bhi rahi sath rafiqon ki tarah
baad marne ke bhi monis shab-e-tanhai hai
dekhiye ab na kahin ahd wafa ka TuTe
aap ne apni jawani ki qasam khai hai
rah lag apni tu ai josh-e-bahaar-e-ummid
dil ko marghub mere aalam-e-tanhai hai
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 47)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.