dil vaqf-e-sitam vaqf-e-jafā dekh rahe haiñ
sāhil ke qarīñ mauj-e-fanā dekh rahe haiñ
maiñ bhī unheñ maa.il ba-jafā dekh rahā huuñ
vo bhī mujhe raazī ba-razā dekh rahe haiñ
hañste hue chehre pe hai ik nuur kā a.alam
āñkhoñ meñ mai-e-hosh-rubā dekh rahe haiñ
kyā mahv-e-taġhāful hai koī jān-e-tamannā
kyuuñ dard ka.ī din se sivā dekh rahe haiñ
sāġhar kī khanak hai kahīñ phūloñ kī mahak hai
maiḳhāne ko ham ḳhuld-numā dekh rahe haiñ
bahte hue ashkoñ meñ hai tasvīr-e-rukH-e-dost
ā.īna-e-me.arāj-e-vafā dekh rahe haiñ
aaheñ haiñ agar lab to āñkhoñ meñ haiñ aañsū
ye apnī mohabbat kā silā dekh rahe haiñ
dil waqf-e-sitam waqf-e-jafa dekh rahe hain
sahil ke qarin mauj-e-fana dekh rahe hain
main bhi unhen mail ba-jafa dekh raha hun
wo bhi mujhe raazi ba-raza dekh rahe hain
hanste hue chehre pe hai ek nur ka aalam
aankhon mein mai-e-hosh-ruba dekh rahe hain
kya mahw-e-taghaful hai koi jaan-e-tamanna
kyun dard kai din se siwa dekh rahe hain
saghar ki khanak hai kahin phulon ki mahak hai
maiKHane ko hum KHuld-numa dekh rahe hain
bahte hue ashkon mein hai taswir-e-rukH-e-dost
aaina-e-mearaj-e-wafa dekh rahe hain
aahen hain agar lab to aankhon mein hain aansu
ye apni mohabbat ka sila dekh rahe hain
Source :
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 48)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.