meri aankhon ko mayassar jab se binai hui
merī āñkhoñ ko mayassar jab se bīnā.ī huī
ik tamāshā-e-do-ā'lam kī tamāshā.ī huī
hosh vārafta huā ruḳhsat-e-shakebā.ī huī
terā jalva dekh kar ye hairat-e-afzā.ī huī
kis kī sūrat meñ nahīñ jalva tumhārā āshkār
vaah ye achchhī tumhārī shān-e-yaktā.ī huī
mā-sivā tere binā ai jān-e-jāñ kis ke liye
gulshan-e-ījād meñ ye bazm-e-ārā.ī huī
iztirāb-e-dil mirā had se tajāvuz kar gayā
is liye saare jahāñ meñ apnī rusvā.ī huī
dekhne vāloñ se pūchho tum ko us kī kyā ḳhabar
kar rahī hai kyā tumhārī aañkh sharmā.ī huī
ai nasīm-e-sub.h sach kahnā ye kis kī chaal hai
ātish-e-gul hai chaman meñ kis kī bhaḌkā.ī huī
ġhair ke sar kī qasam khaao to mānoñ e'tibār
apne sar kī to qasam sau baar hai khaa.ī huī
dīdanī thā ai 'jamīl' us shoḳh kā tarz-e-ḳhirām
fitna-e-mahshr adā thī chaal iThlā.ī huī
meri aankhon ko mayassar jab se binai hui
ek tamasha-e-do-a'lam ki tamashai hui
hosh warafta hua ruKHsat-e-shakebai hui
tera jalwa dekh kar ye hairat-e-afzai hui
kis ki surat mein nahin jalwa tumhaara aashkar
wah ye achchhi tumhaari shan-e-yaktai hui
ma-siwa tere bina ai jaan-e-jaan kis ke liye
gulshan-e-ijad mein ye bazm-e-arai hui
iztirab-e-dil mera had se tajawuz kar gaya
is liye sare jahan mein apni ruswai hui
dekhne walon se puchho tum ko us ki kya KHabar
kar rahi hai kya tumhaari aankh sharmai hui
ai nasim-e-subh sach kahna ye kis ki chaal hai
aatish-e-gul hai chaman mein kis ki bhaDkai hui
ghair ke sar ki qasam khao to manon e'tibar
apne sar ki to qasam sau bar hai khai hui
didani tha ai 'jamil' us shoKH ka tarz-e-KHiram
fitna-e-mahshr ada thi chaal iThlai hui
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 96)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.