jab zindagi-o-maut ka hasil nahin malum
jab zindagī-o-maut kā hāsil nahīñ ma.alūm
be-jā ye shikāyat hai ki manzil nahīñ ma.alūm
maiñ muntazir diid huuñ ai maut Thahar jā
tujh ko abhī shāyad mirī shakl nahīñ ma.alūm
tūfān-e-mohabbat se abhī khel rahā huuñ
duniyā ye samajhtī hai ki sāhil nahīñ ma.alūm
vāraftagī-e-shauq ne gum kar diyā aisā
manzil ke talab-gār ko manzil nahīñ ma.alūm
shāyad ki use bhī ho rihā.ī kī tamannā
jis ko sabab-e-tauq-o-salāsil nahīñ ma.alūm
jab zindagi-o-maut ka hasil nahin malum
be-ja ye shikayat hai ki manzil nahin malum
main muntazir did hun ai maut Thahar ja
tujh ko abhi shayad meri shakl nahin malum
tufan-e-mohabbat se abhi khel raha hun
duniya ye samajhti hai ki sahil nahin malum
waraftagi-e-shauq ne gum kar diya aisa
manzil ke talab-gar ko manzil nahin malum
shayad ki use bhi ho rihai ki tamanna
jis ko sabab-e-tauq-o-salasil nahin malum
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.IX (Pg. 97)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.