mohi lobh aur maya tyagi tyag diya sansar
mohi lobh aur maayā tyāgī tyaag diyā sansār
tumre dvāre aan paḌī huuñ nabiyoñ ke sardār
gahirā sāgar duur kinārā naav paḌī mañjdhār
Dūbtī nayyā paar lagā do nayyā khevanhār
chhoḌ ke saare dvāre maulā aa.ī tumre dvaar
mujh nirdhan nirādhār ke daatā keval tum ādhār
prabhu tohe dīn-dayālo sab ke pālanhār
dayā dharm kī rakshak jag meñ ik tumrī sarkār
motī le kar nainanvā se hun se le kar diip
āshāoñ ke thaal meñ rakh kar laa.ī tore dvaar
sundar raajā sundar parjā sundar sagrā desh
kalī kalī chandā kī maalā har daarī gulzār
chandā kī juutī se panchhī hañs hañs piit lagā.e
'anjum' ke hirdai meñ basā hai maulā tumarā pyaar
mohi lobh aur maya tyagi tyag diya sansar
tumre dware aan paDi hun nabiyon ke sardar
gahira sagar dur kinara naw paDi manjdhaar
Dubti nayya par laga do nayya khewanhaar
chhoD ke sare dware maula aai tumre dwar
mujh nirdhan niradhaar ke data kewal tum aadhaar
prabhu tohe din-dayalo sab ke palanhaar
daya dharm ki rakshak jag mein ek tumri sarkar
moti le kar nainanwa se hun se le kar dip
aashaon ke thaal mein rakh kar lai tore dwar
sundar raja sundar parja sundar sagra desh
kali kali chanda ki mala har dari gulzar
chanda ki juti se panchhi hans hans pit lagae
'anjum' ke hirdai mein basa hai maula tumara pyar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.