zaKHm-e-dil ko kar liya maine hara jo ho so ho
zaḳhm-e-dil ko kar liyā maiñ ne harā jo ho so ho
'ishq meñ tere koh-e-ġham sar pe liyā jo ho so ho
mujh ko tere dar pe hī zauq-e-jabīñ-sā.ī milā
rāz-e-hastī bhī vahīñ jā ke khulā jo ho so ho
mai-kada thā chashm-e-jānāñ jaam thā tasvīr-e-nāz
partav-e-nāz-e-nazar dil meñ chhupā jo ho so ho
rāh-e-haq meñ talḳhiyāñ bhī thiiñ magar ai nāz-e-’ishq
sar pe har talḳhī kā saaya le liyā jo ho so ho
us ruḳh-e-anvar kī tābānī ko paane ke liye
apnī hastī ham ne 'amjad' dī miTā jo ho so ho
zaKHm-e-dil ko kar liya main ne hara jo ho so ho
'ishq mein tere koh-e-gham sar pe liya jo ho so ho
mujh ko tere dar pe hi zauq-e-jabin-sai mila
raaz-e-hasti bhi wahin ja ke khula jo ho so ho
mai-kada tha chashm-e-jaanan jam tha taswir-e-naz
partaw-e-naz-e-nazar dil mein chhupa jo ho so ho
rah-e-haq mein talKHiyan bhi thin magar ai naz-e-’ishq
sar pe har talKHi ka saya le liya jo ho so ho
us ruKH-e-anwar ki tabani ko pane ke liye
apni hasti hum ne 'amjad' di miTa jo ho so ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.