milin manzilen aur Thikane lage hain
milīñ manzileñ aur Thikāne lage haiñ
dar-e-yār par sar jhukāne lage haiñ
hamārī bhī qismat sañvarne lagī hai
ki vo ḳhair se aane jaane lage haiñ
tire qurb meñ zindagī jī ga.e ham
tire hijr meñ hosh jaane lage haiñ
miTā ke tire ġhair ke naqsh saare
tirā hī tasavvur jamāne lage haiñ
qayāmat kī shoḳhī ġhazab Thahrī 'manshā'
ki dil 'āshiqoñ kā churāne lage haiñ
milin manzilen aur Thikane lage hain
dar-e-yar par sar jhukane lage hain
hamari bhi qismat sanwarne lagi hai
ki wo KHair se aane jaane lage hain
tere qurb mein zindagi ji gae hum
tere hijr mein hosh jaane lage hain
miTa ke tere ghair ke naqsh sare
tera hi tasawwur jamane lage hain
qayamat ki shoKHi ghazab Thahri 'mansha'
ki dil 'ashiqon ka churane lage hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.