tera jam jam-e-hayat hai tera zikr zikr-e-dawam hai
terā jaam jām-e-hayāt hai terā zikr zikr-e-davām hai
jo samajh gayā tujhe sāqiyā use sidq-e-dil se salām hai
na Talūñgā sāqiyā jaam se yahī merī ’arz-e-tamām hai
maiñ talāsh-e-rāz meñ huuñ mujhe to terī nigāh se kaam hai
vo ḳhayāl meñ hue rū-ba-rū kyā pesh dil to vo kah ga.e
vahī dil yahāñ pe qubūl hai jo asīr-e-'ishq-e-imām hai
koī pī ke raah se bhaTak gayā koī pī ke raah ko pā gayā
jo sabhī kā zarf 'ayāñ kare ye terī sharāb kā kaam hai
merā riñd nau ko payām hai ki gurez-e-shaiḳh-e-haram kareñ
ye harām hai vo harām hai ye to un kā takiya-kalām hai
tera jam jam-e-hayat hai tera zikr zikr-e-dawam hai
jo samajh gaya tujhe saqiya use sidq-e-dil se salam hai
na Talunga saqiya jam se yahi meri ’arz-e-tamam hai
main talash-e-raaz mein hun mujhe to teri nigah se kaam hai
wo KHayal mein hue ru-ba-ru kya pesh dil to wo kah gae
wahi dil yahan pe qubul hai jo asir-e-'ishq-e-imam hai
koi pi ke rah se bhaTak gaya koi pi ke rah ko pa gaya
jo sabhi ka zarf 'ayan kare ye teri sharab ka kaam hai
mera rind nau ko payam hai ki gurez-e-shaiKH-e-haram karen
ye haram hai wo haram hai ye to un ka takiya-kalam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.