in dinon kar-e-digar karata hun
in dinoñ kār-e-digar karatā huuñ
vādī-e-hū kā safar karatā huuñ
jab kahīñ miltī nahīñ jā-e-panāh
kū-e-ehsās ko ghar karatā huuñ
din guzartā hai gulistānoñ meñ
raat sahrā meñ basar karatā huuñ
kisī lamhe ko farāmosh karūñ
kisī lamhe ko amar karatā huuñ
dekhnā chāhūñ maiñ jab ā.īna
us ke chehre pe nazar karatā huuñ
be-ḳhayālī meñ tire bheje ḳhutūt
roz idhar aur udhar karatā huuñ
tere kūche ke manāzir dekheñ
chāñd tāroñ ko ḳhabar karatā huuñ
naam hai harf-e-mohabbat merā
maiñ har ik dil pe asar karatā huuñ
ek ghar roz banātā huuñ 'mujīb'
ek ghar roz khañDar karatā huuñ
in dinon kar-e-digar karata hun
wadi-e-hu ka safar karata hun
jab kahin milti nahin ja-e-panah
ku-e-ehsas ko ghar karata hun
din guzarta hai gulistanon mein
raat sahra mein basar karata hun
kisi lamhe ko faramosh karun
kisi lamhe ko amar karata hun
dekhna chahun main jab aaina
us ke chehre pe nazar karata hun
be-KHayali mein tere bheje KHutut
roz idhar aur udhar karata hun
tere kuche ke manazir dekhen
chand taron ko KHabar karata hun
nam hai harf-e-mohabbat mera
main har ek dil pe asar karata hun
ek ghar roz banata hun 'mujib'
ek ghar roz khanDar karata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.