na zamin rok pai na ruka hun aasman se
na zamīn rok paa.ī na rukā huuñ āsmāñ se
tirī justujū meñ guzrā maiñ hudūd-e-lā-makāñ se
hai abas talāsh us kī hai fuzūl ye bhaTaknā
vo qarīb-tar hai dil se vo qarīb-tar hai jaañ se
kiyā baḌh ke ḳhair-maqdam use sar pe bhī biThāyā
jo nasīm-e-sub.h aa.ī tire sehn-e-gulistāñ se
koī tīr-e-tanz pheñke ki malāmatoñ ke patthar
na haTegā dil hamārā kabhī tere āstāñ se
idhar aao mujh se pūchho ki tumheñ batā.ūñgā sab
abhī ho ke aa rahā huuñ maiñ jahān-e-kahkashāñ se
usī dasht-e-imtihāñ meñ ka.ī baar Dagmagāyā
ka.ī baar gul chune haiñ usī dasht-e-imtihāñ se
huuñ uisī liye muqayyad maiñ badan kī sarhadoñ meñ
kahīñ phuñk na jaa.e a.alam mirī sozish-e-nihāñ se
vahī ek jaise manzar vahī sub.h-o-shām paiham
mujhe hoga.ī hai vahshat gul-o-barg-o-bāġhbāñ se
lahū dil ko jab kiyā hai to 'mujīb' kuchh kahā hai
mere sher kyā haiñ pūchho kisī sāhab-e-bayāñ se
na zamin rok pai na ruka hun aasman se
teri justuju mein guzra main hudud-e-la-makan se
hai abas talash us ki hai fuzul ye bhaTakna
wo qarib-tar hai dil se wo qarib-tar hai jaan se
kiya baDh ke KHair-maqdam use sar pe bhi biThaya
jo nasim-e-subh aai tere sehn-e-gulistan se
koi tir-e-tanz phenke ki malamaton ke patthar
na haTega dil hamara kabhi tere aastan se
idhar aao mujh se puchho ki tumhein bataunga sab
abhi ho ke aa raha hun main jahan-e-kahkashan se
usi dasht-e-imtihan mein kai bar Dagmagaya
kai bar gul chune hain usi dasht-e-imtihan se
hun uisi liye muqayyad main badan ki sarhadon mein
kahin phunk na jae aalam meri sozish-e-nihan se
wahi ek jaise manzar wahi subh-o-sham paiham
mujhe hogai hai wahshat gul-o-barg-o-baghban se
lahu dil ko jab kiya hai to 'mujib' kuchh kaha hai
mere sher kya hain puchho kisi sahab-e-bayan se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.