Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

mujhko duniya ke har ek gham se chhuDa rakkha hai

Fana Bulandshahri

mujhko duniya ke har ek gham se chhuDa rakkha hai

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    mujh ko duniyā ke har ik ġham se chhuḌā rakkhā hai

    jalva-e-yār ne mad.hosh banā rakkhā hai

    maut se aap ulfat ne bachā rakkhā hai

    varna bīmār-e-ġham-e-hijr meñ kyā rakkhā hai

    arsa-e-hashr meñ rusvā.ī yaqīnī thī magar

    terī rahmat ne har ik jurm chhupā rakkhā hai

    manzil-e-dair-o-haram chhoḌ ke ai jān-e-jahāñ

    maiñ ne kā’ba terī chaukhaT ko banā rakkhā hai

    jazba-e-ishq meñ takmīl-e-ibādat ke liye

    maiñ ne sar yaar ke qadmoñ meñ jhukā rakkhā hai

    tere jalvoñ ye shoḳhī are tauba tauba

    hosh muusā sar-e-tūr uThā rakkhā hai

    mujh ko duniya ke har ek gham se chhuDa rakkha hai

    jalwa-e-yar ne madhosh bana rakkha hai

    maut se aap ki ulfat ne bacha rakkha hai

    warna bimar-e-gham-e-hijr mein kya rakkha hai

    arsa-e-hashr mein ruswai yaqini thi magar

    teri rahmat ne har ek jurm chhupa rakkha hai

    manzil-e-dair-o-haram chhoD ke ai jaan-e-jahan

    main ne ka’ba teri chaukhaT ko bana rakkha hai

    jazba-e-ishq mein takmil-e-ibaadat ke liye

    main ne sar yar ke qadmon mein jhuka rakkha hai

    tere jalwon ki ye shoKHi are tauba tauba

    hosh musa ka sar-e-tur uTha rakkha hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now