mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin
mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin
Khwaja Meer Dard
MORE BYKhwaja Meer Dard
mujhe dar se apne tū Taale hai ye batā mujhe tū kahāñ nahīñ
koī aur bhī hai tire sivā tū agar nahīñ to jahāñ nahīñ
paḌī jis taraf ko nigāh yaañ nazar aa gayā hai ḳhudā hī vaañ
ye haiñ go ki āñkhoñ kī putliyāñ mire dil meñ jā-e-butāñ nahīñ
mire dil ke shīshe ko bevafā tū ne TukḌe TukḌe hī kar diyā
mire paas to vahī ek thā yaañ dukān-e-shīsha-garāñ nahīñ
mujhe raat saarī hī tere haañ kaTe kyuuñ ki rote na sham.a saañ
ki ho sake hai kuchh ab bayāñ na ye baat hai ki zabāñ nahīñ
koī samjhe kyuuñ ki ye mudda.ā ki pahelī sā hai ye mājrā
kahā maiñ tujhe nahīñ chaah kyā lagā kahne mujh se ki haañ nahīñ
na milā hameñ koī nukta-dāñ ye bipat sunā deñ bhalā kahāñ
na huā sabhoñ pe vahī ayaañ jo kasū se yaañ to nihāñ nahīñ
tujhe dard kyuuñ ki sunā.ūñ maiñ na ḳhudā kisī ko dikhā.e ye
jo kuchh apne jī pe guzartī hai kahūñ kyā ki us kā bayāñ nahīñ
mujhe dar se apne tu Tale hai ye bata mujhe tu kahan nahin
koi aur bhi hai tere siwa tu agar nahīñ to jahan nahin
paDi jis taraf ko nigah yan nazar aa gaya hai KHuda hi wan
ye haiñ go ki aankhon ki putliyan mere dil mein ja-e-butan nahin
mere dil ke shishe ko bewafa tu ne TukDe TukDe hi kar diya
mere pas to wahi ek tha yan dukan-e-shisha-garan nahin
mujhe raat sari hi tere han kaTe kyun ki rote na shama san
ki ho sake hai kuchh ab bayan na ye baat hai ki zaban nahin
koi samjhe kyun ki ye muddaa ki paheli sa hai ye majra
kaha main tujhe nahīñ chah kya laga kahne mujh se ki han nahin
na mila hamein koi nukta-dan ye bipat suna den bhala kahan
na hua sabhon pe wahi ayan jo kasu se yan to nihan nahin
tujhe dard kyun ki sunaun main na KHuda kisi ko dikhae ye
jo kuchh apne ji pe guzarti hai kahun kya ki us ka bayan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.