mujhe ishq ne ye sabaQ diya ki na hijr hai na visal hai
mujhe ishq ne ye sabaQ diyā ki na hijr hai na visāl hai
usī zaat kā maiñ zuhūr huuñ ye jamāl usī kā jamāl hai
vahī sūrat aur vahī ā.īna jo ḳhayāl dil se ye jaaye na
tu vo rū-ba-rū hai har ā.īna yahī shaan shān-e-kamāl hai
koī aur haq ke sivā nahīñ azal-o-abad hai vo aap hī
vahī aap lai-sa-kamislihī vahī aap apnī misāl hai
mirī bandagī hai to bas yahī ki karūñ maiñ apnī hī bandagī
yahī zikr hai yahī fikr hai yahī haal hai yahī qaal hai
maiñ fidā-e-murshid-e-pāk huuñ dar-e-bārgāh kī ḳhaak huuñ
vo samā ke mujh meñ ye kahte haiñ ki 'azīz' ġhair-muhāl hai
mujhe ishq ne ye sabaQ diya ki na hijr hai na visal hai
usi zat ka main zuhur hun ye jamal usi ka jamal hai
wahi surat aur wahi aaina jo KHayal dil se ye jaye na
tu wo ru-ba-ru hai har aaina yahi shan shan-e-kamal hai
koi aur haq ke siwa nahin azal-o-abad hai wo aap hi
wahi aap lai-sa-kamislihi wahi aap apni misal hai
meri bandagi hai to bas yahi ki karun main apni hi bandagi
yahi zikr hai yahi fikr hai yahi haal hai yahi qal hai
main fida-e-murshid-e-pak hun dar-e-bargah ki KHak hun
wo sama ke mujh mein ye kahte hain ki 'aziz' ghair-muhaal hai
- Book : Irfan-e-Azeez Intikhab-e-Kalam-e-Urdu (Pg. 112)
- Author : Azeez Safipuri
- Publication : Urdu Department, Aligarh Muslim University (1946)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.