mujhe nazdik bulwaya to hota
mujhe nazdīk bulvāyā to hotā
merī duurī kā ġham khāyā to hotā
bahut kartā hai shāna mū-shagāfī
zarā zulfoñ meñ uljhāyā to hotā
na hotā ā.īna hargiz muqābil
tū apnā husn chamkāyā to hotā
vo zālim mārtā hai ghaav par ghaav
bhalā ek zaḳhm silvāyā to hotā
jab aayā taras use bolā muḳhālif
koī din aur tarsāyā to hotā
'turāb' us bin nahīñ dil ko tire chain
kisī sūrat se bahlāyā to hotā
mujhe nazdik bulwaya to hota
meri duri ka gham khaya to hota
bahut karta hai shana mu-shagafi
zara zulfon mein uljhaya to hota
na hota aaina hargiz muqabil
tu apna husn chamkaya to hota
wo zalim marta hai ghaw par ghaw
bhala ek zaKHm silwaya to hota
jab aaya taras use bola muKHalif
koi din aur tarsaya to hota
'turab' us bin nahin dil ko tere chain
kisi surat se bahlaya to hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.