mujhe to mara haya ne teri karega mujhse hijab kab tak
mujhe to mara haya ne teri karega mujhse hijab kab tak
Shah Turab Ali Qalandar
MORE BYShah Turab Ali Qalandar
mujhe to maarā hayā ne terī karegā mujh se hijāb kab tak
dikhā de mukhḌā uThā de parda rakhegā muñh par naqāb kab tak
bhalā ye pūchhe koī sanam se huī hai taqsīr kaun ham se
jo baaz aatā nahīñ sitam se ye zulm-o-jaur-o-'itāb kab tak
mire harīfoñ se kar ke yaarī huā sharīk-e-sharāb-ḳhvārī
bhalā maiñ kaise karūñ na zaarī jalūñ maiñ misl-e-kabāb kab tak
umañg par hai tirī javānī to kar le bande se lan-tarānī
ye baat achchhī nahīñ hai jaanī rahegā husn-o-shabāb kab tak
rahe hai ġhairoñ ke ghar meñ din-bhar na rashk yāroñ ko aa.e kyuuñ kar
kabhī vo aatā nahīñ mire ghar rahūñ maiñ ġham meñ ḳharāb kab tak
dilā sarāpā surūr ho jā nikal ke zulmat se nuur ho jā
ḳhudā ke nashsha meñ chuur ho jā rahegā mast-e-sharāb kab tak
mujhe to aa.ī hai dil par riqqat ki 'ishq-bāzī hai us kī ḳhilqat
to dām-e-sūrat meñ fil-haqīqat phañsā rahegā 'turāb' kab tak
mujhe to mara haya ne teri karega mujh se hijab kab tak
dikha de mukhDa uTha de parda rakhega munh par naqab kab tak
bhala ye puchhe koi sanam se hui hai taqsir kaun hum se
jo baz aata nahin sitam se ye zulm-o-jaur-o-'itab kab tak
mere harifon se kar ke yari hua sharik-e-sharab-KHwari
bhala main kaise karun na zari jalun main misl-e-kabab kab tak
umang par hai teri jawani to kar le bande se lan-tarani
ye baat achchhi nahin hai jaani rahega husn-o-shabab kab tak
rahe hai ghairon ke ghar mein din-bhar na rashk yaron ko aae kyun kar
kabhi wo aata nahin mere ghar rahun main gham mein KHarab kab tak
dila sarapa surur ho ja nikal ke zulmat se nur ho ja
KHuda ke nashsha mein chur ho ja rahega mast-e-sharab kab tak
mujhe to aai hai dil par riqqat ki 'ishq-bazi hai us ki KHilqat
to dam-e-surat mein fil-haqiqat phansa rahega 'turab' kab tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.