gulshan mein jo gulshan ke parastar uThe hain
gulshan meñ jo gulshan ke parastār uThe haiñ
sayyād se vo barsar-e-paikār uThe haiñ
jo terī mohabbat ke talab-gār uThe haiñ
duniyā se vo Takrāne ko tayār uThe haiñ
mai-ḳhāne ko saaqī na ujaḌne kabhī deñge
ab sar se kafan bāñdh ke mai-ḳhvār uThe haiñ
paimāna ba-kaf the jo kabhī bazm-e-jahāñ meñ
hāthoñ meñ liye ab vahī talvār uThe haiñ
kitne haiñ jo pī kar bhī nahīñ be-ḳhud-o-sarshār
ham be-piye mai-ḳhāna se sarshār uThe haiñ
ab sabza-e-be-gāna kahāñ apne vatan meñ
phūloñ kī hifāzat ke liye mai-ḳhvār uThe haiñ
gulshan mein jo gulshan ke parastar uThe hain
sayyaad se wo barsar-e-paikar uThe hain
jo teri mohabbat ke talab-gar uThe hain
duniya se wo Takrane ko tayar uThe hain
mai-KHane ko saqi na ujaDne kabhi denge
ab sar se kafan bandh ke mai-KHwar uThe hain
paimana ba-kaf the jo kabhi bazm-e-jahan mein
hathon mein liye ab wahi talwar uThe hain
kitne hain jo pi kar bhi nahin be-KHud-o-sarshaar
hum be-piye mai-KHana se sarshaar uThe hain
ab sabza-e-be-gana kahan apne watan mein
phulon ki hifazat ke liye mai-KHwar uThe hain
- Book : Dabistan-E-Azimabad (Pg. 121)
- Publication : Nikhar Press, Mau Nath Bhanjan (1982)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.